svapn jha.De phuul se, miit chubhe shuul se


Song Title: svapn jha.De phuul se, miit chubhe shuul se
Movie Name: Nai Umr Ki Nai Fasal
Actor(s)/Actress(es): Rajiv Kapoor, Tanuja
Singer(s): Mohammad Rafi
Music Director(s): Roshan
Lyricist(s): Neeraj
Category(ies): Dream Songs


Go to Slow-DEVNAGRI Go to Fast-DEVNAGRI (Xdvng) Go back to Index
%
% Contributor:  
% Transliterator:  
% Credits: rec.music.indian.misc 
%          Rajat Bhatnagar (rbhatnag@essex.ecn.uoknor.edu)
%          Raj Ganesan (cpd.tandem.com!raj)
%          C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu)
%          Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu)
%          Mohan Rathore (rathore@ece.rutgers.edu)
%          R. Gopalakrishnan   (gopalakr@cis.udel.edu)
%          Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
%
%
svapn jha.De phuul se, miit chubhe shuul se
luT gaye shrR^i.ngaar sabhii, baag ke babuul se
aur ham kha.De kha.De, bahaar dekhate rahe
kaaravaa.N guzar gayaa, gubaar dekhate rahe

aa.Nkh bhii khulii na thii ki haaya dhuup Dhal ga_ii
paa.Nv jab talaq uThe ki zi.ndagii fisal ga_ii
paat paat jha.D gae ki shaakh-shaakh jal ga_ii
chaah to nikal sakii (na par umar nikal ga_ii) - 2)
giit ashk ban gae, svapn ho dafan gae
saath ke sabhii diye, dhuaa.n pahan-pahan gae
aur ham jhuke-jhuke, mo.D par ruke-ruke
umr kii cha.Dhaav kaa utaar dekhate rahe, kaaravaa.N guzar...

kyaa shabaab thaa ki phuul phuul pyaar kar uThaa
kyaa kamaal thaa ki dekh aainaa sihar uThaa
is taraf zamiin aur aasamaan udhar uThaa
thaamakar jigar uThaa (ki jo milaa nazar uThaa) - 2)
par tabhii yahaa.N magar, aisii kuchh havaa chalii
luT ga_ii kalii kalii ki ghuT ga_ii galii galii
aur ham luTe-luTe, vaqt se piTe-piTe
shaam kii sharaab kaa khumaar dekhate rahe, kaaravaa.N guzar...

haath the mile ke zulf chaa.Nd kii savaar duu.N
ho.nTh the khule ke har bahaar ko pukaar luu.N
dard thaa diyaa gayaa ke har dukhii ko pyaar duu.N
aur saa.Ns yuu.N ke svarg, (bhuumi par utaar duu.N - 2)
ho sakaa na kuchh magar,  shaam ban ga_ii sahar
vo uThii lahar ke Dhah gaye kile bikhar bikhar
aur ham Dare Dare,  niir nain me.n bhare
o.Dh kar kafan pa.De mazaar dekhate rahe, kaaravaa.N guzar...

maa.Ng bhar chalii ke ek jab na_ii na_ii kiran
Dhol se dhunak uThii Thumak uThe charaN charaN
shor mach gayaa ke lo chalii dulhan chalii dulhan
gaa.Nv sab uma.Da pa.Daa, (bahak uThe nayan nayan - 2)
par tabhii zahar bharii gaaz ek vah girii
puu.nchh gayaa si.nduur taar taar huii chunarii
aur ham ajaan se,  duur ke makaan se
paalakii liye huye kahaar dekhate rahe, kaaravaa.N guzar...

svapan jha.De phuul se, miit chubhe shUl se
luT gaye shrR^i.ngaar sabhii baag ke babuul se
aur ham kha.De kha.De bahaar dekhate rahe
kaaravaa.N guzar gayA gubbaar dekhate rahe

%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .