chho.Do kal kii baate.n, kal kii baat puraanii


Song Title: chho.Do kal kii baate.n, kal kii baat puraanii
Movie Name: Hum Hindustani
Actor(s)/Actress(es): Sunil Dutt
Singer(s): Mukesh
Music Director(s): Usha Khanna
Lyricist(s):
Category(ies): Patriotic Songs


Go to Slow-DEVNAGRI Go to Fast-DEVNAGRI (Xdvng) Go back to Index
%
% Contributor:  
% Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org)
% Credits: C. S. Sudarshana bhat (B536HIND@UTARLVM1.UTA.EDU)
%          Raj Ganesan (cpd.tandem.com!raj)
%          Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
%
%
chho.Do kal kii baate.n, kal kii baat puraanii
nae daur me.n likhe.nge, mil kar na_ii kahaanii
ham hi.ndustaanii,  ham hi.ndustaanii

aaj puraanii za.njiiro.n ko to.D chuke hai.n
kyaa dekhe.n us ma.nzil ko jo chho.D chuke hai.n
chaa.nd ke dar par jaa pahu.nchaa hai aaj zamaanaa
nae jagat se ham bhii naataa jo.D chuke hai.n
nayaa khuun hai na_ii uma.nge.n, ab hai na_ii javaanii

ham ko kitane taajamahal hai.n aur banaane
kitane hai.n aja.ntaa ham ko aur sajaane
abhii palaTanaa hai rukh kitane dariyaao.n kaa
kitane pav.rt raaho.n se hai.n aaj haTaane
?

aao mehanat ko apanaa iimaan banaae.n
apane haatho.n se apanaa bhagavaan banaae.n
raam kii is dharatii ko gautam ki bhuumii ko
sapano.n se bhii pyaaraa hi.ndustaan banaae.n
?

daag gulaamii kaa dhoyaa hai jaan luTaa ke
diip jalaae hai.n ye kitane diip bujhaa ke
lii hai aazaadii to phir is aazaadii ko
rakhanaa hogaa har dushman se aaj bachaa ke
?

har zarraa hai motii aa.Nkh uThaakar dekho
miTTii me.n sonaa hai haath ba.Dhaakar dekho
sone ki ye ga.ngaa hai chaa.ndii kii jamunaa
chaaho to patthar pe dhaan ugaakar dekho
?
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .