aaye hai.n duur se, milane hazuur se


Song Title: aaye hai.n duur se, milane hazuur se
Movie Name: Tumsa Nahin Dekha
Actor(s)/Actress(es): Shammi Kapoor, Ameeta
Singer(s): Mohammad Rafi, Asha Bhonsle
Music Director(s): Onkar Prasad Nayyar
Lyricist(s): Majrooh Sultanpuri
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go to Fast-DEVNAGRI (Xdvng) Go back to Index
%
% Contributor:  
% Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org)
% Credits: Satish Subramanian (subraman@myria.cs.umn.edu)
%          C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu)
%          Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu)
%          Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
%
%
aashaa:	aae hai.n duur se,  milane hazuur se
aise bhii chup na rahiye,  kahiye jii kuchh to kahiye
din hai ke raat hai
rafii:	haay ...
tumase mehamaan kyaa,  mujhape ahasaan kyaa
laakho.n hii zulfo.n vaale,  aatii hai.n gheraa Daale
merii kyaa baat hai
aashaa:	aaye hai.n duur se ...

uTh ke to dekhiye,  kaisii fizaa hai
sharamaanaa chho.Diye,  ye kyaa adaa hai
rafii:	taubaa ye kyaa faramaayaa
mai.n to yuu.N hii sharamaayaa
merii kyaa baat hai
aashaa:	aaye hai.n duur se ...
rafii:	o o o ...
tumase mehamaan kaa ...

dikhatii hai roz hii, aisii fizaae.n
mukha.De ke saamane, kaalii ghaTaae.n
aashaa:	koI chal jaae jaaduu,  phir ham puuchhe.nge baabuu
din hai ke raat hai ...
rafii:	o o o ...
tumase mehamaan kaa ...
aashaa:	aa aa aa ...
aaye hai.n duur se ...
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .