har taraf ab yahii afasaane hai.n, ham terii aa.Nkho.n ke


Song Title: har taraf ab yahii afasaane hai.n, ham terii aa.Nkho.n ke
Movie Name: Hindustan ki Qasam
Actor(s)/Actress(es): Raj Kumar, Priya Rajvansh, Vijay Anand
Singer(s): Manna Dey
Music Director(s): Madan Mohan
Lyricist(s): Kaifi Azmi
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go to Fast-DEVNAGRI (Xdvng) Go back to Index
%
% Contributor:  
% Transliterator: Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu)
% Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu)
%          Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu)
% Editor:  
%
%
har taraf ab yahii afasaane hai.n
ham terii aa.Nkho.n ke diivaane.n hai.n
har taraf...

itanii sachchaaii hai in aa.Nkho.n me.n
khoTe sikke bhii khare ho jaaye.n
tuu kabhii pyaar se dekhe jo udhar
suukhe ja.ngal bhii hare ho jaaye.n
baag ban jaae, baag ban jaae jo viiraane.n hai.n
ham terii aa.Nkho.n ke diivaane hai.n
har taraf...

ek halkaa saa ishaaraa inakaa
kabhii dil aur kabhii jaa.N luuTegaa
kis tarah pyaas bujhegii usakii
kis tarah usakaa nashaa TuuTegaa
jisakii qismat me.n, jisakii qismat me.n ye paimaane.n hai.n
ham terii aa.Nkho.n ke diivaane.n hai.n
har taraf...

niichii nazaro.n me.n hai.n kitanaa jaaduu
ho gae pal me.n ka_ii khvaab javaa.N
kabhii uThane kabhii jhukane kii adaa
le chalii jaane kidhar jaane kahaa.N
raaste pyaar ke, raaste pyaar ke a.njaane hai.n
ham terii aa.Nkho.n ke diivaane.n hai.n - (2)
har taraf...
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .