sar se sarake, sarake chunariyaa,


Song Title: sar se sarake, sarake chunariyaa,
Movie Name: Silsila
Actor(s)/Actress(es): Jaya Bhaduri, Amitabh Bachchan, Rekha, Sanjeev Kumar, Shashi Kapoor
Singer(s): Kishore Kumar, Lata Mangeshkar
Music Director(s): Shiv, Hari
Lyricist(s): Hasan Kamal
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go to Fast-DEVNAGRI (Xdvng) Go back to Index
%
% Contributor: Satish Subramanian (subraman@cs.umn.edu)
% Transliterator: Shripad Lale (lale@cent.gud.siemens.co.at)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
%
%
koras: sar se sarake, sarake chunariyaa,
laaj bharii a.Nkhiyo.n me.n - 2

ho maiyaa, gaae saajan, o bahanaa, hoke magan
naache.n, sakhiyo.n me.n

strii: naino.n me.n ni.ndiyaa, ni.ndiyaa me.n sapane
sapano.n me.n saajan, jabase basaa
bahaare.n aayii jiivan me.n, nayii.n halachal hai tan man me.n
ik ruup basaa hai, a.Nkhiyo.n me.n
koras: sar se sarake...

purushh: kuchh lamhe.n, jiivan ke churaale.n
saa.nso.n kii ye aag bujhaa de.n
duniyaa se duur, nayii.n duniyaa.n, basaa de.n

strii: jab se milii hai, tujhase nazar
jaaduu ye kaisaa, mujhape huaa
ke dil jab tanahaa lagataa hai
mujhe kuchh aisaa lagataa hai
tuu jhanak rahaa hai, a.Nkhiyo.n me.n
koras: sar se sarake...

purushh: aaj kaa har ik pal su.ndar hai
kal kyaa ho, kisako ye khabar hai
la.nbaa safar, zindagI muqtasar hai

strii: Dar lag rahaa hai, kyaa jaane kyaa ho
dil tujh ko maine, jab se diyaa
u.Dii hai.n nii.nde.n a.Nkhiyo.n se
terii aisii hii baato.n se
badanaam huii huu.N sakhiyo.n me.n
koras: sar se sarake...

purushh: taaro.n se ye maa.ng sajaa duu.N
hoTho.n pe ik phuul khilaa duu.N
tere liye saarii duniyaa bhulaa duu.N

strii: mahakegaa saaraa, gulashan hamaaraa
dil kaa sahaaraa, baahe.n terii
khushii se harii bharii hogii
ye duniyaa terii merii hogii
ik phuul khilegaa, bagiyo.n me.n
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .