mahafil me.n jal uThii shamaa, paravaane ke liye


Song Title: mahafil me.n jal uThii shamaa, paravaane ke liye
Movie Name: Nirala
Actor(s)/Actress(es):
Singer(s): Lata Mangeshkar
Music Director(s): Chitalkar Ramchandra
Lyricist(s): P. L. Santoshi
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go to Fast-DEVNAGRI (Xdvng) Go back to Index
%
% Contributor:  Satori (rameshh@acad1.tp.ac.sg)
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
%
%
(mahafil me.n jal uThii shamaa, paravaane ke liye 
priit banii hai.n duniyA me.n, mar jaane ke liye ) -2 

chaaro.n taraf lagaae phere, phir bhI haradam dUr rahe 
ulfat dekho aag banii hai, milane se majabuur rahe 
yahii sazaa hai.n duniyA me.n  
yahii sazaa hai.n duniyA me.n, dIvaane ke liye 
priit banii hai.n duniyA me.n, mar jaane ke liye

marane kA hai naam muhabbat, jalane kA hai naam javaanii 
patthar dil hai.n sunane vaale, kahane vaalaa aa.Nkh kA pAnI 
aa.Nsuu aaye aa.Nkho.n me.n 
aa.Nsuu aaye aa.Nkho.n me.n, gir jaane ke liye 
priit banii hai.n duniyA me.n, mar jaane ke liye

mahafil me.n jal uThii shamaa, paravaane ke liye 
priit banii hai.n duniyA me.n, mar jaane ke liye
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .