ai sanam tujh se mai.n jab dUr chalaa jaauu.ngaa


Song Title: ai sanam tujh se mai.n jab dUr chalaa jaauu.ngaa
Movie Name:
Actor(s)/Actress(es):
Singer(s): Hussain Brothers
Music Director(s):
Lyricist(s): Anwar Sagar
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go to Fast-DEVNAGRI (Xdvng) Go back to Index
%
% Contributor:  Vandana Sharma (uusharma@uxa.ecn.bgu.edu)
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
%
%
(ai sanam tujh se mai.n jab dUr chalaa jaauu.ngaa - 2
yaad rakhanaa ke tujhe yaad bahut aauu.Ngaa ) - 2
ai sanam tujh se mai.n jab dUr chalaa jaauu.ngaa 

ye milan aur ye hasiin raat nA jaane kab ho 
saa.Njh ke baad mulaakaat nA jaane kab ho 
ab tere shahar musaafir kii tarah aauu.Ngaa  
ai sanam ...

chaa.Nd ke aks me.n sUraj kii hasii.n kiran me.n 
jhiil ke aaIne me.n bahate hue jharano me.n 
in nazaaro.n mai.n tujhe mai.n hii najar aauu.Ngaa  
ai sanam ...

yaad jab aaegii vo pahalii mulaaqaat tujhe 
aur muhabbat ke fasaane kii har ik baat tujhe 
tere khvaabo.n me.n khayaalo.n me.n chalaa aauu.Ngaa  
ai sanam ...

tujh ko is giit kA har sher karegaa bekal 
merI yaad aaegii jab bhI tujhe ai jaan-e-Gazal 
nagamaa ban ban ke khayaalaat pe chhaa jaauu.ngaa 
ai sanam ...
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .