terI mahafil me.n kismat aazamaa kar ham bhI dekhe.nge


Song Title: terI mahafil me.n kismat aazamaa kar ham bhI dekhe.nge
Movie Name: Mughal-e-Azam
Actor(s)/Actress(es): Prithviraj Kapoor, Dilip Kumar, Madhubala
Singer(s): Lata Mangeshkar, Shamshad Begum, chorus
Music Director(s): Naushad
Lyricist(s): Shakeel Badayuni
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go to Fast-DEVNAGRI (Xdvng) Go back to Index
%
% Contributor: mprabhu@magnus.acs.ohio-state.edu
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
% Comments: For those who haven't seen the movie or had seen it aeons 
%           ago, here is the setting: Saleem (heir apparent to Akbar, the 
%           Great) has returned after several years at the battle front and 
%           is leading a somewhat relaxed life meant to freshen him up. He 
%           gets to see Nadira (dubbed 'Anarkali' by Akbar) and it is love 
%           at first sight between them. However, as usual, there is always 
%           the third person - a rich, upper class girl called Bahaar who 
%           cherishes Saleem's love and dreams of being the empress of the 
%           golden empire. This song is set when the competition is just 
%           beginning to heat up - Saleem is being entertained by both Bahaar 
%           and Anarkali and both of them present their individual viewpoints 
%           on what a true loving life should be like ...
%
%           Shamshaad Begum sings for Bahaar (Shashikala) and Lata sings 
%           for Anarkali (Madhubala).
%
%
(aalaap)
s: terI mahafil me.n kismat aazamaa kar ham bhI dekhe.nge 
gha.Dii bhar ko tere nazadiik aakar ham bhI dekhe.nge - 2 
ajii haa.n ham bhI dekhe.nge - 2 

l: terI mahafil me.n kismat aazamaa kar ham bhI dekhe.nge 
tere kadamo.n pe sar apanaa jhukaa kar ham bhI dekhe.nge - 2 
ajii haa.n ham bhI dekhe.nge - 2 

s: bahaare.n aaj paiGaam-e-mohabbat le ke aaii hai.n 
ba.DI muddat me.n ummiido.n kii kaliyaa.n muskuraaI hai.n 
ba.DI muddat me.n ajii haa.n 
ba.DI muddat me.n ummiido.n kii kaliyaa.n muskuraaI hai.n 
Gam-e-dil se jaraa daaman bachaakar ham bhI dekhe.nge - 2 
ajii haa.n ham bhI dekhe.nge 

l: agar dil Gam se khaalii ho to jiine kA mazaa kyA hai 
nA ho khuun-e-jigar to ashq piine kA mazaa kyA hai 
nA ho khuun-e-jigar haa.n haa.n 
nA ho khuun-e-jigar to ashq piine kA mazaa kyA hai 
mohabbat me.n jaraa aa.Nsuu bahaakar ham bhI dekhe.nge - 2 
ajii haa.n ham bhI dekhe.nge 

s: mohabbat karane vaalo kA hai bas itanaa hii afasaanaa 
ta.Dapanaa chupake chupake aahe.n bharanaa ghuT ke mar jaanaa 
ta.Dapanaa chupake chupake haa.n haa.n 
ta.Dapanaa chupake chupake aahe.n bharanaa ghuT ke mar jaanaa 
kisii din ye tamaashaa muskuraa kar ham bhI dekhe.nge - 2 
terI mahafil me.n kismat aazamaa kar ham bhI dekhe.nge 
ajii haa.n ham bhI dekhe.nge 

l: mohabbat hamane maanaa zindagii barabaad karatii hai 
ye kyA kam hai ke mar jaane se duniyA yaad karatii hai 
ye kyA kam hai ajii haa.n haa.N 
ye kyA kam hai ke mar jaane se duniyA yaad karatii hai 
kisii ke ishq me.n duniyA luTaakar ham bhI dekhe.nge - 2 
terI mahafil me.n kismat aazamaa kar ham bhI dekhe.nge 

l: tere kadamo.n pe sar apanaa jhukaakar aa aa ...
s: gha.Dii bhar ko tere nazadiik aakar aa aa ...
dono.n: terI mahafil me.n kismat aazamaa kar ham bhI dekhe.nge 
s: ajii haa.n ham bhI dekhe.nge 
l: ajii haa.n ham bhI dekhe.nge 
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .