ham dard ke maaro.n kA, itanaa hii fasaanaa hai


Song Title: ham dard ke maaro.n kA, itanaa hii fasaanaa hai
Movie Name: Daag
Actor(s)/Actress(es):
Singer(s): Talat Mehmood
Music Director(s): N. Datta
Lyricist(s): Sahir Ludhianvi
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go to Fast-DEVNAGRI (Xdvng) Go back to Index
%
% Contributor:  Prince Kohli (pkohli@cc.gatech.edu)
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)
%
%
jhuk gaye Gam kii havaa se, pyaar ke jalate charaag
bevafaa_ii chaa.Nd ne kii, pa.D gayaa isame.n bhii daag

ham dard ke maaro.n kA, itanaa hii fasaanaa hai
piine ko sharaab-e-Gam, dil gam kA nishaanaa hai

(dil ek khilaunaa hai, takadIr ke hAtho.n me.n) - 2
takadIr ke hAtho.n me.n
marane kii tamannaa hai, jiine kA bahaanaa hai
ham dard ke maaro.n kA, itanaa hii fasaanaa hai

(dete hai.n duaae.n ham) - 2, (duniyA kii jafaao.n ko)- 2
kyuu.n unako bhulaae.n ham, ab khud ko bhulaanaa hai
ham dard ke maaro.n kA, itanaa hii fasaanaa hai

(ha.Ns ha.Ns ke bahaare.n to, shabanam ko rulaatii hai.n) - 2
shabanam ko rulaatii hai.n
aaj apanii muhabbat par, dariyaa ko rulaanaa hai
ham dard ke maaro.n kA, itanaa hii fasaanaa hai
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .