jhuum baraabar jhuum sharaabi


Song Title: jhuum baraabar jhuum sharaabi
Movie Name: 5 Rifles
Actor(s)/Actress(es): I.S. Johar
Singer(s): Aziz Nazan
Music Director(s): Aziz Nazan
Lyricist(s): Naza Sholapuri
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go to Fast-DEVNAGRI (Xdvng) Go back to Index
% 
% Contributor: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu)
% Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu)
% Credits: 
% Editor: 
% Comments: This is the ultimate qawwali about sharaab! I've taken care
%	    to spell the words the way they were pronounced in the song 
% 	    (e.g. muhaubbat), so they might differ from the classical spelling.
%
%
naa haram me.n, naa sukuu.N milataa hai butakhaane me.n
chain milataa hai to saaqii tere maikhaane me.n

jhuum, jhuum, jhuum
( jhuum baraabar jhuum sharaabii, jhuum baraabar jhuum ) -3
kaalii ghaTaa hai, aa aa..., mast fazaa hai, aa aa...
kaalii ghaTaa hai mast fazaa hai, jaam uThaakar ghuum ghuum ghuum
jhuum baraabar ...

aaj a.Nguur kii beTii se muhaubbat kar le
shekh saahab kii nasiihat se baGaavat kar le
isakii beTii ne uThaa rakhii hai sar par duniyaa
ye to achchhaa huaa ke a.Nguur ko beTaa naa huaa
kamasekam sUrat-e-saaqii kaa nazaaraa kar le
aake maiKaane me.n jiine kaa sahaaraa kar le
aa.Nkh milate hii javaanii kaa mazaa aayegaa
tujhako a.Nguur ke paanii kaa mazaa aayegaa
har nazar apanii bakad shauq gulaabii kar de
itanii piile ke zamaane ko sharaabii kar de
jaam jab saamane aaye to mukaranaa kaisaa
baat jab piine kI aajaaye to Daranaa kaisaa
dhuum machii hai, aa aa..., maiKaane me.n, aa aa...
dhuum machii hai maiKaane me.n, tuu bhii machaa le dhuum dhuum dhuum
jhuum baraabar ...

isake piinese tabiiyat me.n ravaanii aaye
isako buu.Dhaa bhii jo piile to javaanii aaye
piine vaale tujhe aajaaegaa piine kaa mazaa
isake har ghuu.NT me.n poshiidaa hai piine kaa mazaa
baat to jab hai ke tuu mai kaa paraskaar bane 
tuu nazar Daal de jis par vohii maiKvaar bane
mausam-e-gul me.n to piine kaa mazaa aataa hai
piine vaalo.n ko hii jiine kaa mazaa aataa hai
jaam uThaale, aa aa..., mu.Nh se lagaale, aa aa...
jaam uThaale, mu.Nh se lagaale, mu.Nh se lagaakar chuum chuum chuum
jhuum baraabar ...

jo bhii aataa hai yahaa.N piike machal jaataa hai
jab nazar saaqii kI pa.Datii hai sambhal jaataa hai
aa idhar jhuumake saaqii kaa leke naam uThaa
dekh vo abr uThaa tuu bhii zaraa jaam uThaa
is qadar piile ke rag-rag me.n suruur aajaaye
qadarat-e-mai se tere chehare pe nuur aajaaye
isake har katare me.n naazaa.N hai nihaa.N dariyaadilii
isake piinese pataa hotii hai ke zindaadilii
shaan se piile, aa aa..., shaan se jiile, aa aa...
shaan se piile shaan se jiile, ghuum nashe me.n ghuum ghuum ghuum
jhuum baraabar ...
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .