merii kahaanii bhuulane vaale teraa jahaa.N aabaad rahe


Song Title: merii kahaanii bhuulane vaale teraa jahaa.N aabaad rahe
Movie Name: Deedar
Actor(s)/Actress(es): Dilip Kumar, Ashok Kumar, Nargis, Nimmi
Singer(s): Mohammad Rafi
Music Director(s): Naushad
Lyricist(s): Shakeel Badayuni
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go to Fast-DEVNAGRI (Xdvng) Go back to Index
%
% Contributor:  
% Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org)
% Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu)
%          Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu)
%          Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu)
% Editor:  
%
%
merii kahaanii bhuulane vaale teraa jahaa.N aabaad rahe, merii kahaanii
terii khushii par mai.n miT jaauu.n duniyaa terii aabaad rahe
merii kahaanii

mere giit sune duniyaa ne magar
meraa dard na koI jaan sakaa
ek teraa sahaaraa thaa dil ko
par tuu bhii na mujhe pahachaan sakaa
bachapan ke vo giit puraane aaj tujhe na yaad rahe
merii kahaanii

mai.n apanaa fasaanaa kah na sakaa
mere dil kii tamannaa dil me.n rahii
jo aaj kinaare par aake
aramaano.n kii kashtii Duub ga_ii
qismat ko ma.nzuur yahii thaa lab par mere fariyaad rahe
merii kahaanii
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .