nanhaa munnaa raahii huu.N, desh kaa sipaahii huu.N


Song Title: nanhaa munnaa raahii huu.N, desh kaa sipaahii huu.N
Movie Name: Son of India
Actor(s)/Actress(es):
Singer(s): Shanti Maa
Music Director(s): Naushad
Lyricist(s): Shakeel Badayuni
Category(ies): Songs for Kids, Patriotic Songs


Go to Slow-DEVNAGRI Go to Fast-DEVNAGRI (Xdvng) Go back to Index
%
% Contributor:  
% Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org)
% Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) 
%          C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
%
%
nanhaa munnaa raahii huu.N, desh kaa sipaahii huu.N
bolo mere sa.ng, jay hi.nd, jay hi.nd, jay hi.nd ...

raste pe chaluu.ngaa na Dar-Dar ke
chaahe mujhe jiinaa pa.De mar-mar ke
ma.nzil se pahale naa luu.ngaa kahii.n dam
aage hii aage ba.Dhaau.ngaa kadam
daahine baae.n daahine baae.n, tham!  nanhaa ...

dhuup me.n pasiinaa bahaau.ngaa jahaa.n
hare-bhare khet laharaae.nge vahaa.n
dharatii pe faake na paae.nge janam
aage hii aage ...

nayaa hai zamaanaa merii na_ii hai Dagar
desh ko banaau.ngaa mashiino.n kaa nagar
bhaarat kisii se na rahegaa kam
aage hii aage ...

ba.Daa ho ke desh kaa sitaaraa banuu.ngaa
duniyaa kii aa.Nkho.n kaa taaraa banuu.ngaa
rakhuu.ngaa uu.nchaa tira.ngaa haradam
aage hii aage ...

shaa.nti ki nagarii hai meraa ye vatan
sabako sikhaauu.ngaa pyaar kaa chalan
duniyaa me.n girane na duu.ngaa kahii.n bam
aage hii aage ...
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .