mujhe chhuu rahii hai.n terii garm saa.Nse.n


Song Title: mujhe chhuu rahii hai.n terii garm saa.Nse.n
Movie Name: Swayamvar
Actor(s)/Actress(es): Shashi Kapoor, Moushumi Chatterjee
Singer(s): Mohammad Rafi, Lata Mangeshkar
Music Director(s): Rajesh Roshan
Lyricist(s): Gulzar
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go to Fast-DEVNAGRI (Xdvng) Go back to Index
%
% Contributor:  
% Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org)
% Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) 
%          Rajan P. Parrikar (parrikar@mimicad.Colorado.EDU)
%          C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
%
%
% Subject: Romance with Raga Pahadi
%
rafii:	mujhe chhuu rahii hai.n terii garm saa.Nse.n
mere raat aur din mahakane lage hai.n
lataa:	terii narm saa.Nso.n ne aise chhuaa hai.n
ke mere to paao.n bahakane lage hai.n

rafii:	labo.n se agar tum bulaa naa sako to
nigaaho.n se tum naam lekar bulaa lo
lataa:	tumhaarii nigaahe.n bahut bolatii hai.n
zaraa apanii aa.Nkho.n pe palake giraa do
rafii:	mujhe chhuu rahii hai.n terii garm saa.Nse.n
mere raat aur din mahakane lage hai.n

rafii:	pataa chal gayaa hai ke ma.nzil kahaa.N hai
chalo dil ke lambe safar pe chale.nge
lataa:	safar khatm kar de.nge ham to vahii.n par
jahaa.N tak tumhaare kadam le chale.nge
rafii:	mujhe chhuu rahii hai.n terii garm saa.Nse.n
mere raat aur din mahakane lage hai.n
lataa:	terii narm saa.Nso.n ne aise chhuuaa hai.n
ke mere to paao.n bahakane lage hai.n
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .