tere bachapan ko javaanii kii duaa detii huu.N


Song Title: tere bachapan ko javaanii kii duaa detii huu.N
Movie Name: Mujhe Jeene Do
Actor(s)/Actress(es): Sunil Dutt, Waheeda Rehman, Nirupa Roy
Singer(s): Lata Mangeshkar
Music Director(s): Jaidev
Lyricist(s): Sahir Ludhianvi
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go to Fast-DEVNAGRI (Xdvng) Go back to Index
%
% Contributor:  
% Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org)
% Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) 
%          Preetham Gopalaswamy (preetham@eng.umd.edu)
%          C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
%
%
% This song is sung by a mother (Waheeda) to her child as a "lori".   The
% father (Sunil Dutt) is a "daaku" and is on the run from the law.  Hence the
% entire family is constantly in hiding, moving from place to place hoping
% to remain undetected.   This song is basically an expression of how the
% sins of the parents visit the children.
% The "dard" and softness in Lata's voice as she sings this song makes it
% one of the most moving songs I have heard.
%
tere bachapan ko javaanii kii duaa detii huu.N
aur duaa deke pareshaan sii ho jaatii huu.N

mere munne mere gulazaar ke nanhe paudhe
tujhako haalat kii aa.ndhii se bachaane ke liye
aaj mai.n pyaar ke aa.nchal me.n chhupaa letii huu.N
kal ye kamazor sahaaraa bhii na haasil hogaa
kal tujhe kaa.nTo.n bharii raaho.n pe chalanaa hogaa
zi.ndagaanii kii ka.Dii dhuup me.n jalanaa hogaa
tere bachapan ko javaanii ...

tere maathe pe sharaafat kii koI mohar nahii.n
cha.nd hote hai.n muhabbat ke sukuun hii kyaa hai.n
jaise maao.n kii muhabbat kaa koI mol nahii.n
mere maasuum farishte tuu abhii kyaa jaane
tujhako kis-kisakii gunaaho.n kii sazaa milanii hai
diin aur dharm ke maare hue i.nsaano.n kii
jo nazar milanii hai tujhako vo khafaa milanii hai
tere bachapan ko javaanii ...

be.Diyaa.N leke lapakataa huaa kaanuun kaa haath
tere maa.N-baap se jab tujhako milii ye saugaat
kaun laaegaa tere vaaste khushiyo.n kii baaraat
mere bachche tere a.njaam se jii Darataa hai
terii dushman hii na saabit ho javaanii terii
khaak jaatii hai jise sochake mamataa merii
usii a.njaam ko pahu.nche na kahaanii terii
tere bachapan ko javaanii ...
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .