raat kalii ek khvaab me.n aaii, aur gale kaa haar huii


Song Title: raat kalii ek khvaab me.n aaii, aur gale kaa haar huii
Movie Name: Buddha Mil Gaya
Actor(s)/Actress(es): Navin Nischal, Archana
Singer(s): Kishore Kumar
Music Director(s): Rahul Dev Burman
Lyricist(s): Majrooh Sultanpuri
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go to Fast-DEVNAGRI (Xdvng) Go back to Index
%
% Contributor:  
% Transliterator: Ravi Kant Rai 
% Credits: Dhrithiman Banerjee (banerked@cs.ucdavis.edu)
%          Satish Subramanian (subraman@cs.umn.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
%
%
raat kalii ek khvaab me.n aaii, aur gale kaa haar huii
subah ko jab ham nii.nd se jaage, aa.Nkh tumhii se chaar huii
raat kalii ek khvaab me.n aaii, aur gale kaa haar huii

chaahe kaho ise, merii mohabbat, chaahe ha.Nsii.n me.n u.Daa do
ye kyaa huaa mujhe, mujhako khabar nahii.n, ho sake, tum hii bataa do
tumane kadam jo, rakhaa zamii.n par, siine me.n kyo.n jha.nkaar huii
raat kalii ...

aa.Nkho.nme.n kaajal, aur laTo.nme.n, kaalii ghaTaa kaa baseraa
saa.Nvalii suurat, mohanii muurat, saavan rut kaa saveraa
jabase ye mukha.Daa, dil me khilaa hai, duniyaa merii gulazaar huii
raat kalii ...

yuu.N to hasiino.n ke, mahajabiino.n ke, hote hai.n roz nazaare
par unhe.n dekh ke, dekhaa hai jab tumhe.n, tum lage aur bhii pyaare
baaho.n me.n le luu.N, aisii taman_naa, ek nahii.n, ka_ii baar huii
raat kalii ...
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .