o hasiinaa zulfo.n vaalii jaanejahaa.n


Song Title: o hasiinaa zulfo.n vaalii jaanejahaa.n
Movie Name: Teesri Manzil
Actor(s)/Actress(es): Shammi Kapoor, Asha Parekh
Singer(s): Mohammad Rafi, Asha Bhonsle
Music Director(s): Rahul Dev Burman
Lyricist(s): Majrooh Sultanpuri
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go to Fast-DEVNAGRI (Xdvng) Go back to Index
%
% Contributor:  
% Transliterator: Ravi Kant Rai 
% Credits: Satish Subramanian (subraman@cs.umn.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
%
%
rafii:	o hasInaa zulfo.n vaalii jaanejahaa.n
Dhuu.nDhatii hai.n kaafir aa.Nkhe.n kisakaa nishaa.n
o hasInaa zulfo.n vaalii jaanejahaa.n	
Dhuu.nDhatii hai.n kaafir aa.Nkhe.n kisakaa nishaa.n
mahafil mahafil ai shamaa phiratii ho kahaa.n - 2

aashaa:	vo anjaanaa Dhuu.nDhatii huu.N
vo dIvaanaa Dhuu.nDhatii huu.N
jalaakar jo chhip gayaa hai
vo paravaanaa Dhuu.nDhatii huu.N

aashaa: garm hai, sez hai, ye nigaahe.n merii
rafii:	kaam aa, jaayegii sard, aahe.n merii
aashaa:	tum kisii, raah me.n, to miloge kahii.n
rafii:	are! ishq huu.n, mai.n kahii.n Thaharataa hii nahii.n
aashaa:	mai.n bhii huu.n galiyo.n kii parachhaaii
kabhii yahaa.n kabhii vahaa.n
shaam hii se kuchh ho jaataa hai
merA bhii jaaduu javaa.n

rafii:	o hasInaa zulfo.n vaalii jaanejahaa.n	
Dhuu.nDhatii hai.n kaafir aa.Nkhe.n kisakaa nishaa.n
mahafil mahafil ai shamaa phiratii ho kahaa.n - 2

aashaa:	vo anjaanaa Dhuu.nDhatii huu.N
vo dIvaanaa Dhuu.nDhatii huu.N
jalaakar jo chhip gayaa hai
vo paravaanaa Dhuu.nDhatii huu.N

aashaa:	chhip rahe, hai ye, kyaa Dha.ng hai aapakaa?
rafii:	aaj to, kuchh nayaa, ra.ng hai aapakaa
aashaa:	hai!  aaj kii, raat mai.n, kyaa se kyaa ho gayii
rafii:	aha! aapakii saadagii, to bhalaa ho gayii
aashaa:	mai.n hii huu.n galiyo.n kii parachhaaii
kabhii yahaa.n kabhii vahaa.n
shaam hii se kuchh ho jaataa hai
merA bhii jaaduu javaa.n

rafii:	o hasInaa zulfo.n vaalii jaanejahaa.n	
Dhuu.nDhatii hai.n kaafir aa.Nkhe.n kisakaa nishaa.n
mahafil mahafil ai shamaa phiratii ho kahaa.n - 2

aashaa:	vo anjaanaa Dhuu.nDhatii huu.N
vo dIvaanaa Dhuu.nDhatii huu.N
jalaakar jo chhip gayaa hai
vo paravaanaa Dhuu.nDhatii huu.N

aashaa:	Thahariye, to sahii, kahiye kyaa naam hai
rafii:	merii badanaamiyo.n kA vafaa naam hai
aashaa:	oho!  qatl kar ke chale ye vafaa, khuub hai
rafii:	hai! naadaa.n terii, ye adaa, khuub hai
aashaa:	mai.n bhii huu.N galiyo.n kI parachhaaI
kabhii yahaa.n kabhii vahaa.n
shaam hii se kuchh ho jaataa hai
merA bhii jaaduu javaa.n

rafii:	o hasInaa zulfo.n vaalii jaanejahaa.n	
Dhuu.nDhatii hai.n kaafir aa.Nkhe.n kisakaa nishaa.n
mahafil mahafil ai shamaa phiratii ho kahaa.n - 2

aashaa:	vo anjaanaa Dhuu.nDhatii huu.n
vo dIvaanaa Dhuu.nDhatii huu.n
jalaakar jo chhip gayaa hai
vo paravaanaa Dhuu.nDhatii huu.n!!!
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .