khaamosh hai zamaanaa, chupachaap hai.n sitaare


Song Title: khaamosh hai zamaanaa, chupachaap hai.n sitaare
Movie Name: Mahal
Actor(s)/Actress(es): Madhubala, Ashok Kumar
Singer(s): Lata Mangeshkar
Music Director(s): Khemchand Prakash
Lyricist(s):
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go to Fast-DEVNAGRI (Xdvng) Go back to Index
%
% Contributor:  
% Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org)
% Credits: Bijal C. Modi (bijal@fission.Nuc.Berkeley.EDU)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
%
%
Kaamosh hai zamaanaa, chupachaap hai.n sitaare
aaraam se hai .a.a.a, duniyaa, bekal hai.n dil ke maare
aise me.n koii aahaT, is tarah aa rahii hai
jaise kii chal rahaa ho, man me.n koii hamaare
yaa dil dha.Dak rahaa hai .a.a.a
ek aas ke sahaare

aayegaa, aayegaa, aayegaa
aayegaa aanevaalaa, aayegaa, aayegaa

diipak bagair kaise, paravaane jal rahe hai.n  - 2
koii nahii.n chalaataa, aur tiir chal rahe hai.n  - 2
ta.Dapegaa koii kab tak, beaas besahAre
lekin ye kah rahe hai.n, dil ke mere ishaare
aayegaa, aayegaa, aayegaa
aayegaa aanevaalaa, aayegaa, aayegaa

bhaTakii huii javaanii, ma.nzil ko Dhuu.nDhatii hai  - 2
maajhii bagair naiyaa, saahil ko Dhuu.nDhatii hai   - 2
kyaa jaane dil kii kashtii, kab tak lage kinaare
lekin ye kah rahe hai.n, dil ke mere ishaare
aayegaa, aayegaa, aayegaa
aayegaa aanevaalaa, aayegaa, aayegaa
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .