zaraa sii baat pe har rasm to.D aayaa thaa ##mukesh gazal ##


Song Title: zaraa sii baat pe har rasm to.D aayaa thaa ##mukesh gazal ##
Movie Name: Non-Film
Actor(s)/Actress(es):
Singer(s): Mukesh
Music Director(s): Khaiyyam
Lyricist(s): Jan Nissar Akhtar
Category(ies): Ghazals


Go to Slow-DEVNAGRI Go to Fast-DEVNAGRI (Xdvng) Go back to Index
%
% Contributor:  
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@ndsun.cs.ndsu.nodak.edu)
% Credits: (tanvi@utxvms.cc.utexas.edu)
%          Preeti Ranjan Panda (ppanda@ics.uci.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
%
%
zaraa sii baat pe har rasm to.D aayaa thaa
dil-e-tabaah ne bhii kyaa mizaaj paayaa thaa

muaaf kar naa sakii merii zindagii mujhako
vo ek lamhaa ki mai.n tujhase ta.ng aayaa thaa

shaguftaa phUl simaT kar kalii bane jaise
kuchh is tarah se tUne badan churaayaa thaa

guzar gayaa hai koI lamhaa-e-sharar kii tarah
abhii to mai.n use pahachaan bhii na paayaa thaa

pataa nahii.n ki mere baad unape kyaa guzarii
mai.n chaa.Nd khvaab zamaane me.n chho.D aayaa thaa
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .