% ITRANS Song #664
%
\startsong
\stitle{baabul kaa ye ghar gorii, bas kuchh din kaa Thikaanaa hai}%
\film{Daata}%
\starring{Mithun Chakraborty, Farha, Arjun, Shammi Kapoor, Saeed Jafari, Tanvi Azmi, Aasha Sharma}%
\singer{Lata}%
\music{}%
\lyrics{}%
%
% Contributor: Beena (bagarwal@uceng.uc.edu)
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@ndsun.cs.ndsu.nodak.edu)
% Credits: 
% Editor:  
%
\printtitle
#indian
%
saathii:
baabul kaa ye ghar gorii
bas kuchh din kaa Thikaanaa hai
dulhan banake tujhe
piyaa ghar jaanaa hai

dulhan: baapuu tere aa.Ngan kii 
mai.n to khilatii kalii huu.N
is aa.Ngan ko chho.D kyuu.n
kisii aur kaa ghar sajaanaa hai

pitaa: beTii baabul ke ghar me.n
kisii aur kii amaanat hai
dastuur ye duniyaa kaa 
ham sab ko nibhaanaa hai

saathii: dastuur ye duniyaa kaa 
ham sab ko nibhaanaa hai
\threedots

dulhan: maiyaa tere aa.Nchal kii
mai.n to ek gu.Diyaa huu.n
phir kyU.n is aa.Nchal ko chho.D
teraa ghar bhii begaanaa hai
## (Mother in tears and unable to speak anything) ##
## (this is the most emotional verse I think) ##
bhaaii: maa.N ke dil pe kyaa gujare
bahanaa tU ye mat puuchh
kaleje ke Tuka.De ko 
ro ro kar bhulAnaa hai

dulhan: bhaiyaa tere baag kii
mai.n kaisii chi.Diyaa re
raat bhar kaa baseraa hai
subah u.D jaanaa hai

bhaaii: bahanaa tere bachapan kii
yaade.n ham sab ko sataaye.ngii
phir bhii terii Dolii ko 
kaa.Ndhaa to lagaanaa hai
%
#endindian
\endsong
%
% Send corrections to Anurag Shankar (anurag@chandra.astro.indiana.edu)