cha.Dhataa suuraj dhiire dhiire Dhalataa hai Dhal jaayegaa


Song Title: cha.Dhataa suuraj dhiire dhiire Dhalataa hai Dhal jaayegaa
Movie Name:
Actor(s)/Actress(es):
Singer(s):
Music Director(s):
Lyricist(s):
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go to Fast-DEVNAGRI (Xdvng) Go back to Index
%
% Contributor: Satish Subramanian (subraman@cs.umn.edu)
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@ndsun.cs.ndsu.nodak.edu)
% Credits: 
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
%
%
	hue naamavar ... benishaa.n kaise kaise ...
	zamii.n khaa gayii ... naujavaan kaise kaise ...

	aaj javaanii par itaraanevaale kal pachhataayegaa - 3
	cha.Dhataa sUraj dhiire dhiire Dhalataa hai Dhal jaayegaa - 2
	Dhal jaayegaa Dhal jaayegaa - 2

	tU yahaa.n musaafir hai ye saraaye faanii hai
	chaar roj kii mehamaa.n terii zindagaanii hai
	zar zamii.n zar zevar kuchh naa saath jaayegaa
	khaalii haath aayaa hai khaalii haath jaayegaa
	jaanakar bhii anjaanaa ban rahaa hai diivaane
	apanii umr e faanii par tan rahaa hai diivaane
	kis kadar tU khoyaa hai is jahaan ke mele me
	tu khudaa ko bhuulaa hai pha.nsake is jhamele me
	aaj tak ye dekhaa hai paanevaale khotaa hai
	zindagii ko jo samajhaa zindagii pe rotaa hai
	miTanevaalii duniyaa kaa aitabaar karataa hai
	kyaa samajh ke tuu aakhir ise pyaar karataa hai
	apanii apanii fikro.n me.n
	jo bhii hai vo ulajhaa hai - 2
	zindagii haqiikat me.n
	kyaa hai kaun samajhaa hai - 2
	aaj samajhale ...
	aaj samajhale kal ye maukaa haath n tere aayegaa
	o gafalat kii nii.nd me.n sonevaale dhokhaa khaayegaa
	cha.Dhataa sUraj dhiire dhiire Dhalataa hai Dhal jaayegaa - 2
	Dhal jaayegaa Dhal jaayegaa - 2

	maut ne zamaane ko ye samaa dikhaa Daalaa
	kaise kaise rustam ko khaak me.n milaa Daalaa
	yaad rakh sikandar ke hausale to aalii the
	jab gayaa thaa duniyaa se dono haath khaalii the
	ab naa vo halaakU hai aur naa usake saathii hai.n
	ja.ng jo na koras hai aur na usake haathii hai.n
	kal jo tanake chalate the apanii shaan-o-shaukat par
	shamaa tak nahii jalatii aaj unakii qurabat par
	adanaa ho yaa aalaa ho
	sabako lauT jaanaa hai - 2
	mufhiliso.n kaa andhar kaa
	kabr hii Thikaanaa hai - 2
	jaisii karanii ...
	jaisii karanii vaisii bharanii aaj kiyaa kal paayegaa
	sarako  uThaakar chalanevaale ek din Thokar khaayegaa
	cha.Dhataa sUraj dhiire dhiire Dhalataa hai Dhal jaayegaa - 2
	Dhal jaayegaa Dhal jaayegaa - 2

	maut sabako aanii hai kaun isase chhuuTaa hai
	tU fanaa nahii hogaa ye khayaal jhuuThaa hai
	saa.Ns TUTate hii sab rishte TuuT jaaye.nge
	baap maa.N bahan biivii bachche chhuuT jaaye.nge
	tere jitane hai.n bhaaI vaqatakaa chalan de.nge
	chhiinakar terii daulat dohii gaz kafan de.nge
	jinako apanaa kahataa hai sab ye tere saathii hai.n
	kabr hai terii ma.nzil aur ye baraatii hai.n
	laa ke kabr me.n tujhako muradaa bak Daale.nge
	apane haatho.nse tere mu.Nh pe khaak Daale.nge
	terii saarii ulfat ko khaak me.n milaa de.nge
	tere chaahanevaale kal tujhe bhulaa de.nge
	is liye ye kahataa huu.n khuub sochale dil me.n
	kyuu.N pha.nsaaye baiThaa hai jaan apanii mushkil me.n
	kar gunaaho.npe taubaa
	aake bas sambhal jaaye.n - 2
	dam kaa kyaa bharosaa hai
	jaane kab nikal jaaye - 2
	muTThii baa.Ndhake aanevaale ...
	muTThii baa.Ndhake aanevaale haath pasaare jaayegaa
	dhan daulat jaagiir se tuune kyaa paayaa kyaa paayegaa
	cha.Dhataa sUraj dhiire dhiire Dhalataa hai Dhal jaayegaa - 4
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .