aaj kI kaalii ghaTaa, mast-mast aalii ghaTaa


Song Title: aaj kI kaalii ghaTaa, mast-mast aalii ghaTaa
Movie Name: Uski Kahaani
Actor(s)/Actress(es):
Singer(s): Geeta Dutt
Music Director(s): Kanu Roy
Lyricist(s): Kaifi Azmi
Category(ies): Rain Songs


Go to Slow-DEVNAGRI Go to Fast-DEVNAGRI (Xdvng) Go back to Index
%
% Contributor: Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu)
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Credits: 
% Editor:  
%
%
% The song is very much in the same genre as the other Geeta/Kanu combinations
% from "Anubhav", very soft, very melodious and with minimal instruments.
% Geeta sounds great although one does detect a tired quality to her voice, which
% leads me to believe that it is an early 70s song.   The lyrics are Gulzaresque
% in style in that there is little rhyming either in the words or in the rhythm.
% The lyricist however is Kaifi Azmi and Kanu Roy does a marvellous job of 
% maintaining the mood of the song.
%
aaj kI kaalii ghaTaa, mast-mast aalii ghaTaa 
mujhase kahatii hai ki pyAs hai koI 
kaun pyAs hai, mujhe kyA maaluum 
aaj kii kaalii ghaTaa ...

pyaas ke naam se jii Darataa hai 
is ilzaam se jii Darataa hai 
shauk-e-badan se jii Darataa hai 
miiThii nazaro.n me.n samaayaa hai koI 
kyuu.N samaayaa hai, mujhe kyA maaluum 
aaj kii kaalii ghaTaa ...

pyaasii aa.Nkho.n me.n muhabbat leke 
la.Dakha.Daa jaane kii daaGat ??? leke 
mujhase bevajah shikaayat leke 
vinatii dahaliiz tak AyA hai koI 
kaun AyA hai, mujhe kyA maaluum 
aaj kii kaalii ghaTaa ...

kuchh mazaa aane lagaa jiine me.n 
jaag uThaa dard koI siine me.n 
mere ehasaas ke aaine me.n 
ik saayaa najar AtA hai koI 
kisakaa saayaa hai, mujhe kyA maaluum 
aaj kii kaalii ghaTaa ...

zindagii pahale nA thii itanI hasiin 
aur agar thii to mujhe yaad nahii.n 
yahii afasaanaa nA ban jaaye kahii.n 
kuchh nigaaho.n se sunaataa hai koI 
kyA sunaataa hai, mujhe kyA maaluum 
aaj kii kaalii ghaTaa ...
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .