hai priit jahaa.N kii riit sadA me.n giit vahaa.n ke gataa huu.n


Song Title: hai priit jahaa.N kii riit sadA me.n giit vahaa.n ke gataa huu.n
Movie Name: Purab Aur Paschim
Actor(s)/Actress(es): Manoj Kumar, Saira Bano
Singer(s): Mahendra Kapoor
Music Director(s): Kalyanji, Anandji
Lyricist(s): Indeevar
Category(ies): Patriotic Songs


Go to Slow-DEVNAGRI Go to Fast-DEVNAGRI (Xdvng) Go back to Index
%
% Contributor: Himanshu Bhatt (bhatt@ticipa.pac.sc.ti.com)
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Credits: 
% Editor:  
%
%
jab ziiro diyaa mere bhaarat ne 
bhaarat ne mere bhaarat ne 
duniyA ko tab ginatii AI 
taaro.n kii bhaashhaa bhaarat ne 
duniyA ko pahale sikhalaayii 

detaa nA dashamalav bhaarat to 
yuu.N chaa.Nd pe jaanaa mushkil thA 
dharatii aur chaa.Nd kii duurii kA 
a.ndaaz lagaanaa mushkil thA 

sabhyataa jahaa.n pahale AI 
pahale janamii hai jahaa.N pe kalaa 
apanA bhaarat jo bhaarat hai 
jisake piichhe sa.nsaar chalA 
sa.nsaar chalA aur aage ba.Dhaa
jyuu.N aage ba.Dhaa, ba.DhatA hii gayaa 
bhagavaan kare ye aur ba.Dhe 
ba.Dhataa hii rahe aur phuule-phale 

%< madan puri (in his very unusal role) 
madanapurI: chup kyo.n ho gaye? aur sunaao

hai priit jahaa.N kii riit sadA 
mai.n giit vahaa.n ke gAtaa huu.n 
bhaarat kA rahane vaalaa huu.n 
bhaarat kii baat sunaataa huu.n 

kaale-gore kA bhed nahii.n 
har dil se hamArA naataa hai 
kuchh aur nA aataa ho hamako 
hame.n pyaar nibhaanaa aataa hai 
jise maan chukI sArI duniyA 
mai.n baat vohii doharaataa huu.n 
bhaarat kA rahane vaalaa huu.n 
bhaarat kii baat sunaataa huu.n 

jIte ho kisIne desh to kyA 
hamane to dilo.n ko jItA hai 
jahaa.N raam abhii tak hai nar me.n 
naarii me.n abhii tak sItaa hai 
itane pAvan hai log jahaa.N 
mai.n nit-nit shIsh jhukaataa huu.n 
bhaarat kA rahane vaalaa huu.n 
bhaarat kii baat sunaataa huu.n 

itanI mamataa nadiyo.n ko bhI 
jahaa.N maataa kahake bulaate hai 
itanaa aadar insaan to kyA 
patthar bhI puuje jaate.n hai 
is dharatii pe mai.nne janam liyaa 
ye soch ke mai.n itaraataa huu.n 
bhaarat kA rahane vaalaa huu.n 
bhaarat kii baat sunaataa huu.n 
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .