aaegaa aaegaa aaegaa, aaegaa aanevaalaa, aaegaa aaegaa aaegaa


Song Title: aaegaa aaegaa aaegaa, aaegaa aanevaalaa, aaegaa aaegaa aaegaa
Movie Name: Mahal
Actor(s)/Actress(es): Ashok Kumar, Madhubala, Vijayalakshmi
Singer(s): Lata Mangeshkar
Music Director(s): Khemchand Prakash
Lyricist(s): Nakhshab
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go back to Index
% 
% Contributor: Kalyan Kolachala (kal@chromatic.com)
% Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) 
% Date: Sun Jul  9 13:18:51 EDT 1995
% Credits: Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) 
%          Sanjeev Ramabhadran (sanjeevr@phoenix.princeton.edu)
% Editor:  
% Comments:  
%
%
khaamosh hai zamaanaa, chup-chup hai.n sitaare
aaraam se ai duniyaa, bekal hai dil ke maare
aise me.n koii aahaT, is tarah aa rahii hai
jaise ki chal rahaa hai, man me koii hamaare
yaa dil dha.Dak rahaa hai, is aah ke sahaare

aaegaa, aaegaa, aaegaa, aaegaa aanevaalaa, aaegaa aanevaalaa -2

diipak baGair kaise, parvaane jal rahe hai.n -2
koii nahii.n chalaataa, aur tiir chal rahe hai.n
ta.Dapegaa koii kab tak, be-aas be-sahaare -2
lekin ye kah rahe hai.n, dil ke mere ishaare

aaegaa, aaegaa, aaegaa, aaegaa aanevaalaa, aaegaa aanevaalaa

bhaTakii huii javaanii, ma.Nzil ko Dhuu.NDhatii hai -2
maajhii baGair nayyaa, saahil ko Dhuu.NDhatii hai
kyaa jaane dil kii kashtii, kab tak lage kinaare
lekin ye kah rahe hai.n, dil ke mere ishaare

aaegaa, aaegaa, aaegaa, aaegaa aanevaalaa, aaegaa aanevaalaa -2
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .