jise tuu kabuul kar le vo sadaa kahaa.N se laauu.N


Song Title: jise tuu kabuul kar le vo sadaa kahaa.N se laauu.N
Movie Name: Devdas
Actor(s)/Actress(es): Dilip Kumar, Vyjayanthimala, Suchitra Sen
Singer(s): Lata Mangeshkar
Music Director(s): Sachin Dev Burman
Lyricist(s): Sahir Ludhianvi
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go back to Index
% 
% Contributor: ShashiKant Joshi (rava0002@gold.tc.umn.edu)
% Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) 
% Date: Sun Jul  9 15:08:20 EDT 1995
% Credits: Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu)
% Editor:  
% Comments: Pankha Road se Pintu Diwana [37]
%           (RJGK 22)
%           Another of Sahir gem, in the line of "zindagee zulam sahee" on
%           the sadness scale.
%           Vijju is a tawaayaf, and Dilip, broken heart from his lover
%           marrying someone else, finally lands at the mujra of Vijju.
%
%
jise tuu kabuul kar le vo sadaa kahaa.N se laauu.N
tere dil ko jo lubhaa le vo adaa kahaa.N se laauu.N

mai.n vo phuul huu.N ke jisako gayaa har koii masal ke
merii umr bah ga_ii hai mere aa.Nsuo.n me.n Dhal ke
jo bahaar ban ke barase vo ghaTaa kahaa.N se laauu.N
tere dil ko jo...

tujhe aur kii tamannaa mujhe terii aarzuu hai
tere dil me.n Gam hii Gam hai mere dil me.n tuu hii tuu hai
jo dilo.n ko chain de de vo davaa kahaa.N se laauu.N
tere dil ko jo...

merii bebasii hai zaahir merii aahe.n be-asar sii
kabhii maut bhii jo maa.Ngii to na paa_ii usake dar se
jo muraad le ke aa_e vo duaa kahaa.N se laauu.N
tere dil ko jo...
%
% -- ShashiKant Joshi urf Pintu Diwana
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .