mere Kvaabo.n me.n Kayaalo.n me.n chhupe


Song Title: mere Kvaabo.n me.n Kayaalo.n me.n chhupe
Movie Name: Honeymoon
Actor(s)/Actress(es): Manoj Kumar, Sayeeda Khan, Vijaya Choudhary
Singer(s): Mukesh, Lata Mangeshkar
Music Director(s): Salil Chaudhari
Lyricist(s): Shailendra
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go back to Index
% 
% Contributor: U.V. Ravindra 
% Transliterator: Rajiv Shridhar 
% Date: 09/14/1995
% Credits: Archana S. Prasad 
%          Ashok Dhareshwar 
% Comments: Released in 1960
%
%
mere Kvaabo.n me.n Kayaalo.n me.n chhupe
ek din miit mere merii galii aap chale aa_e.nge
kabhii to hogii bahaaro.n kii nazar
aa_egii aisii lahar aarzuu ke phuul muskuraa_e.nge

mai.n unakii ra.Ng bharii yaad li_e kho saa gayaa
unakaa har zikr meraa ek nayaa giit banaa
mere giito.n ke machalate hue svar
unake aa.Ngan me.n utar unhe.n mere paas khii.nch laa_e.nge

hiran kii ban rahii hai chaal ye mad.hhosh nazar
vo mere paas hai.n duniyaa kii nahii.n mujhako khabar
duur duniyaa se zamaane se pare
chaa.Nd taaro.n ke tale ham bhii ek aashiyaa.N banaa_e.nge

yakiin hai mujhako meraa pyaar na ruuThegaa kabhii
saaz-e-dil kaa koii bhii taar na TuuTegaa kabhii
dil ke is taar kii jhanakaar ke sa.ng
ba.Dhate-ba.Dhate ye kadam ma.Nzilo.n ko khud hii pahu.Nch jaa_e.nge
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .