is ishq-o-muhobbat kii, kuchh hai.n ajiib rasme.n


Song Title: is ishq-o-muhobbat kii, kuchh hai.n ajiib rasme.n
Movie Name: Zulm Ki Pukaar
Actor(s)/Actress(es): Parikshit Sahni, Ranjeeta
Singer(s): Mohammad Rafi, Chandrani Mukherjee
Music Director(s): Sonik Omi
Lyricist(s): Varma Malik
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go back to Index
% 
% Contributor: Shashikant Joshi (rava0002@gold.tc.umn.edu)
% Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu)
% Date: Thu Aug 17 12:50:21 EDT 1995
% Credits: Preetham Gopalaswamy (preetham@connectinc.com) 
% Editor: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) 
% Comments: Pankha Road se Pintu Diwana [46]
%     Okay, lyrics are not *that* great as u might have started
%     expecting :-)) but not bad either. A nice, simple worded, happy
%     song. Humm it with your SOs and live the memories or make some! 
%
%
m: is ishq-o-muhobbat kii, kuchh hai.n ajiib rasme.n
   kabhii jiine ke vaade, kabhii marane kii kasame.n
f: na ye tere bas me.n, na ye mere bas me.n
   kabhii jiine ke vaade, kabhii marane kii kasame.n

m: kabhii i.ntazaar karate, barasaat kii raato.n me.n
   kabhii raat guzar jaae, baato.n hii baato.n me.n
f: ik dard machalataa hai, is dil kii nas-nas me.n
   kabhii jiine ke vaade, kabhii marane kii kasame.n

f: Gar hamako judaa kar de.n, ik baar jahaa.n ke sitam
   har baar janam lekar, har baar mile.nge ham
m: yuu.N ahad-e-vafaa kar le.n, aa milakar aapas me.n
   kabhii jiine ke vaade, kabhii marane kii kasame.n

m: mai.n terii mohabbat me.n, har rasm nibhaa duu.Ngaa
   apanii nii.Nde.n dekar, tere Kvaab sajaa duu.Ngaa
f: aisaa hii hotaa hai, jab dil na rahe bas me.n
   kabhii jiine ke vaade, kabhii marane kii kasame.n
%
%
% -- ShashiKant Joshi urf Pintu Diwana
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .