jab ham chale.n to saath hamaaraa saayaa bhii na de


Song Title: jab ham chale.n to saath hamaaraa saayaa bhii na de
Movie Name: Pyaasa
Actor(s)/Actress(es): Guru Dutt
Singer(s): Mohammad Rafi
Music Director(s): Sachin Dev Burman
Lyricist(s): Sahir Ludhianvi
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go back to Index
% 
% Contributor: Neha Desai (ndesai@cc.umanitoba.ca)
% Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu)
% Date: Thu Sep  7 12:22:43 EDT 1995
% Credits: 
% Editor: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu)
% Comments:  
%
%
jab ham chale.n to saath hamaaraa saayaa bhii na de
jab tum chalo zamii.n chale aasmaa.n chale
jab ham ruke.n to saath ruke sham-e-bekasii
jab tum ruko bahaar ruke chaa.Ndanii ruke

ye ha.Nsataa huaa phuul, ye mahakaa huaa gulashan
ye ra.Ng aur nuur me.n Duube hue raahe.n

ye phuulo.n kaa ras piike machalate hue bha.nvare
mai.n duu.N bhii to kyaa duu.N ai shokh nazaaro.n
le de ke mere paas kuchh aa.Nsuu hai.n, kuchh aahe.n

o aasmaa.n-vaale kabhii to nigaah kar -2
ab tak ye zulm sahate rahe Kaamoshii se ham
ta.ng aa chuke hai.n kashamaakash-e-zi.ndagii se ham

Thukaraa na de jahaa.n ko kahii.n be-dilii se ham
maayuusii-e-mak-e-muhabbat na puuchhiye
apano.n se pesh aaiye, hai.n be-gaa.ngegii se ham

aavaaz: bhaaii, koii khushii kaa giit sunaao

ham Gamazadaa hai.n, laae.n kahaa.N se khushii ke giit
de.nge vohii ho paae.nge is zi.ndagii se ham

Gar kabhii mile zi.ndagii ko itteffaaq se
puuchhe.nge apanaa haal, terii bebasii se ham

ubhare.nge ek baar abhii dil ke valavale
maanaa ke dab gae hai.n Gam-e-zi.ndagii se ham

lo aaj hamane to.D di_aa rishtaa-e-ummiid
lo ab kabhii Gilaa na kare.nge kisii se ham
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .