ba.De armaano.n se rakhaa hai balam terii kasam


Song Title: ba.De armaano.n se rakhaa hai balam terii kasam
Movie Name: Malhar
Actor(s)/Actress(es): Shammi Kapoor, Arjun, Moti Sagar
Singer(s): Mukesh, Lata Mangeshkar
Music Director(s): Roshan
Lyricist(s): Indeevar
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go back to Index
% 
% Contributor: Preeti Ranjan Panda 
% Transliterator: Rajiv Shridhar 
% Date: 10/22/1995
% Credits: Preetham Gopalaswamy 
%	   Snehal Oza 
%          Ashok Dhareshwar 
% Editor: Rajiv Shridhar 
% Comments:  Indivar's first song in films
%            Movie released in 1951
%
%
ba.De armaano.n se rakhaa hai balam terii kasam
o balam terii kasam
pyaar kii duniyaa me.n ye pahalaa kadam
ho, pahalaa kadam
judaa na kar sake.nge hamako zamaane ke sitam
ho, zamaane ke sitam
pyaar kii duniyaa me.n ye pahalaa kadam
ho, pahalaa kadam

le uThaa pyaar bhii a.nga.Daaii hai, dil bhii jahaa.N
ajii, aise me.n li_e jaate ho tum bolo kahaa.N
duur duniyaa kii nigaaho.n se kahii.n jaae.nge ham
pyaar kii duniyaa me.n ye pahalaa kadam
ho, pahalaa kadam ...

terii do aa.Nkho.n me.n dikahte hai.n mujhe dono.n jahaa.n
inhii me.n kho gayaa dil meraa kaho Dhuu.NDhuu.n kahaa.N
chaa.Nd ghaTataa ho ghaTe apanii mohabbat na ho kam
pyaar kii duniyaa me.n ye pahalaa kadam
ho, pahalaa kadam ...

merii naiyaa ko kinaare kaa i.ntazaar nahii.n
teraa aa.Nchal ho to patavaar bhii darakaar nahii.n
tere hote hue kyo.n ho mujhe tuufaan kaa Gam
pyaar kii duniyaa me.n ye pahalaa kadam
ho, pahalaa kadam ...
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .