hame.n to luuT liyaa milake husn vaalo.n ne


Song Title: hame.n to luuT liyaa milake husn vaalo.n ne
Movie Name: Al Hilal
Actor(s)/Actress(es): Mahipal, Shakeela
Singer(s): Ismail Azad Qawwal, Others
Music Director(s): Bulo C. Rani
Lyricist(s): Shevan Rizvi
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go back to Index
% 
% Contributor: Neeraj Malhotra (malhotra@bedford.progress.com)
% Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu)
% Date: Fri Jan 19 19:46:22 EST 1996
% Credits: Preetham Gopalaswamy (preetham@connectinc.com)
% Editor: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu)
% Comments: 1958 
%
%
(hame.n to luuT liyaa milake husna vaalo.n ne
 kaale-kaale baalo.n ne, gore-gore gaalo.n ne)	-2

nazar me.n shoKiyaa.N aur bachapanaa sharaarat me.n
adaae.n dekhake ham pha.ns ga_e mohabbat me.n
ham apanii jaan se jaae.nge jinakii ulfat me.n
yakiin hai ki na aae.nge vo hii maiyyat me.n
to ham bhii kah de.nge, ham luT ga_e, sharaafat me.n

(hame.n to luuT liyaa milake husna vaalo.n ne
 kaale-kaale baalo.n ne, gore-gore gaalo.n ne)        -2

vahii.n-vahii.n pe kayaamat ho vo jidhar jaae.n
jhukii-jhukii huii nazaro.n se kaam kar jaae.n
ta.Dapataa chho.D de.n raste me.n aur guzar jaae.n
sitam to ye hai ki dil le le.n aur mukar jaae.n
samajh me.n kuchh nahii.n aataa ki ham dikhar jaae.n
yahii iraadaa hai ye kahake ham to mar jaae.n

(hame.n to luuT liyaa milake husna vaalo.n ne
 kaale-kaale baalo.n ne, gore-gore gaalo.n ne)        -2

vafaa ke naam pe maaraa hai bevafaao.n ne
ki dam bhii ham ko na lene diyaa jafaao.n ne
Kudaa bhulaa diyaa in husn ke Kudaao.n ne
miTaa ke chho.D diyaa ishq kii Kataao.n ne
u.Daae hosh kabhii zulf kii havaa.n ne
hayaa-e-naaz ne luuTaa kabhii adaao.n ne

(hame.n to luuT liyaa milake husna vaalo.n ne
 kaale-kaale baalo.n ne, gore-gore gaalo.n ne)        -2

hazaar luT ga_e nazaro.n ke ik ishaare par
hazaaro.n bah ga_e tuufaan banake dhaare par
na inake vaado.n kaa kuchh Thiik hai na baato.n kaa
fasaanaa hotaa hai inakaa hazaar raato.n kaa
bahut hasii.n hai vaise to bholapan inakaa
bharaa huaa hai magar zahar se badan inakaa
ye jisako kaaT le.n paanii vo pii nahii.n sakataa
davaa to kyaa hai duaa se bhii jii nahii.n sakataa
inhii.n ke maare hu_e ham bhii hai.n zamaane me.n
hai chaar lafz mohabbat ke is fasaane me.n

(hame.n to luuT liyaa milake husna vaalo.n ne
 kaale-kaale baalo.n ne, gore-gore gaalo.n ne)        -2

zamaanaa inako samajhata hai nek.h_vaar maasuum
magar ye kahate hai.n kyaa hai kisiiko kyaa maaluum
inhe.n na tiir na talvaar kii zaruurat hai
shikaar karane ko kaafii nigaahe.n ulfat hai.n
hasiin chaal se dil payamal karate hai.n
nazar se karate hai.n baate.n kamaal karate hai.n
har ek baat me.n matalab hazaar hote hai.n
ye siidhe-saade ba.De hoshiyaar hote hai.n
Kudaa bachaae hasiino.n kii tez chaalo.n se
pa.De kisii kaa bhii pallaa na husna vaalo.n se

(hame.n to luuT liyaa milake husna vaalo.n ne
 kaale-kaale baalo.n ne, gore-gore gaalo.n ne)        -2

husna vaalo.n me.n mohabbat kii kamii hotii hai
chaahane vaalo.n kii taqadiir burii hotii hai
inakii baato.n me.n banaavaT hii banaavaT dekhii
sharm aa.Nkho.n me.n nigaaho.n me.n lagaavaT dekhii
aag pahale to mohabbat kii lagaa dete hai.n
apanii ruKasaar kaa diivaanaa banaa dete hai.n
dostii kar ke phir a.njaan nazar aate hai.n
sach to ye hai ki be_iimaan nazar aate hai.n
maute.n kam nahii.n duniyaa me.n muhabbat inakii (???)
zi.ndagii hotii barabaad badaulat inakii
din bahaaro.n ke guzarate hai.n magar mar-mar ke
luT ga_e ham to hasiino.n pe bharosaa kar ke

(hame.n to luuT liyaa milake husna vaalo.n ne
 kaale-kaale baalo.n ne, gore-gore gaalo.n ne)        -2
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .