nirbal se la.Daaii balavaan kii, yah kahaanii hai diiye aur tuufaan kii


Song Title: nirbal se la.Daaii balavaan kii, yah kahaanii hai diiye aur tuufaan kii
Movie Name: Toofan Aur Diya
Actor(s)/Actress(es):
Singer(s): Manna Dey
Music Director(s): Vasant Desai
Lyricist(s): Bharat Vyas
Category(ies): Bhajans


Go to Slow-DEVNAGRI Go back to Index
% 
% Contributor: Chetan Vinchhi 
% Transliterator: Rajiv Shridhar 
% Date: 08/09/1996
% Credits: Arun Nair 
% Last Modified: 1/10/1997
%
%
nirbal se la.Daaii balavaan kii -2
yah kahaanii hai diiye kii aur tuufaan kii -2

ik raat a.ndhiyaarii, thii.n dishaae.n kaarii-kaarii
ma.nd-ma.nd pavan thaa chal rahaa
a.ndhiyaare ko miTaane, jag me.n jyot jagaane
ek chhoTaa-saa diiyaa thaa kahii.n jal rahaa
apanii dhun me.n magan, usake tan me.n agan
usakii lau me.n lagan bhagavaan kii
yah kahaanii hai diiye kii aur tuufaan kii

kahii.n duur thaa tuufaan...
kahii.n duur thaa tuufaan, diiye se thaa balavaan
saare jag ko masalane machal rahaa
jhaa.D ho.n yaa pahaa.D, de vo pal me.n ukhaa.D
soch-soch ke zamii.n pe thaa uchhal rahaa
ek nanhaa-saa diiyaa, usane hamalaa kiyaa -2
ab dekho liilaa vidhi ke vidhaan kii
yah kahaanii hai diiye kii aur tuufaan kii

duniyaa ne saath chho.Daa, mamataa ne mukh mo.Daa
ab diiye pe yah dukh pa.Dane lagaa -2
par himmat na haar, man me.n maranaa vichaar
atyaachaar kii havaa se la.Dane lagaa
sar uThaanaa yaa jhukaanaa, yaa bhalaaii me.n mar jaanaa
gha.Dii aaii usake bhii imtehaan kii
yah kahaanii hai diiye kii aur tuufaan kii

phir aisii gha.Dii aaii - 2, ghanaghor ghaTaa chhaaii
ab diiye kaa bhii dil lagaa kaa.Npane
ba.De zor se tuufaan, aayaa bharataa u.Daan
us chhoTe se diiye kaa bal maapane
tab diiyaa dukhiyaaraa, vah bichaaraa besahaaraa
chalaa daav pe lagaane, (baazii praaN kii) - 4
chalaa daav pe lagaane, baazii praaN kii
yah kahaanii hai diiye kii aur tuufaan kii

la.Date-la.Date vo thakaa, phir bhii bujh na sakaa -2
usakii jyot me.n thaa bal re sachchaaii kaa
chaahe thaa vo kamazor, par TuuTii nahii.n Dor
usane bii.Daa thaa uThaayaa re bhalaaii kaa
huaa nahii.n vo niraash, chalii jab tak saa.Ns
use aas thii prabhu ke varadaan kii
yah kahaanii hai diiye kii aur tuufaan kii

sar paTak-paTak, pag jhaTak-jhaTak
na haTaa paayaa diiye ko apanii aan se
baar-baar vaar kar, a.nt me.n haar kar
tuufaan bhaagaa re maidaan se
atyaachaar se ubhar, jalii jyot amar
rahii amar nishaanii balidaan kii
yah kahaanii hai diiye kii aur tuufaan kii
nirbal se la.Daaii balavaan kii
yah kahaanii hai diiye kii aur tuufaan kii
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .