abhii to mai.n javaan huu.N


Song Title: abhii to mai.n javaan huu.N
Movie Name: Non-Film
Actor(s)/Actress(es):
Singer(s): Mallika Pukhraj
Music Director(s):
Lyricist(s): Hafeez Jalandhari
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go back to Index
% 
% Contributor: Sandeep S Bajwa 
% Transliterator: Rajiv Shridhar 
% Date: 10/26/1996
% Credits: Balaji A.S. Murthy 
%          Malini Kanth Murthy 
%          U.V. Ravindra 
% Last Modified: 10/31/1996
%
%
abhii to mai.n javaan huu.N	- 3

havaa bhii Kushagavaar hai, gulo.n pe bhii nikhaar hai
tarannume.n hazaar hai.n, bahaar purabahaar hai
kahaa.N chalaa hai saaqiyaa, (idhar to lauT idhar to aa) - 3
are, yah dekhataa hai kyaa? uThaa subuu, subuu uThaa
subuu uThaa, piyaalaa bhar piyaalaa bhar ke de idhar
chaman kii simT kar nazar, samaa to dekh beKabar
vo kaalii-kaalii badaliyaa.N - 2, ufaq pe ho ga_ii ayaa.n
vo ik hajuum-e-maikashaa.n, hai suu-e-maikadaa ravaa.n
ye kyaa gumaa.n hai badagumaa.n, samajh na mujhako naatavaa.n
Kayaal-e-zohd abhii kahaa.N? abhii to mai.n javaan huu.N
abhii to mai.n javaan huu.N - 2

ibaadato.n kaa zikr hai, nijaat kii bhii fikr hai
junuun hai sabaab kaa, Kayaal hai azaab kaa
magar suno to sheK jii, ajiib shay hai.n aap bhii
bhalaa shabaab-o-aashiqii, alag hue bhii hai.n kabhii
hasiin jalavaarez ho, adaae.n fitanaKez ho
havaae.n itr_bez ho.n, to shauq kyuu.N na tez ho?
nigaarahaa-e-fitanaagar - 2, koii idhar koii udhar - 2
ubhaarate ho aish par, to kyaa kare koii bashar
chalo jii qissaa muKtasar, tumhaaraa nuqtaa-e-nazar
durust hai to ho magar, abhii to mai.n javaan huu.N 
abhii to mai.n javaan huu.N - 2

ye Gasht kohasaar kii, ye sair juu-e-vaar kii
ye bulabulo.n ke chahachahe, ye gularuKo.n ke qahaqahe
kisii se mel ho gayaa, to ra.nj-o-fikr kho gayaa
kabhii jo vaqt so gayaa, ye ha.Ns gayaa vo ro gayaa
ye ishq kii kahaaniyaa.N, ye ras bharii javaaniyaa.N
udhar se maharabaaniyaa.N, idhar se lantaraaniyaa.N
ye aasmaan ye zamii.n - 2, nazzaraahaa-e-dilanashii.n
une hayaat aafarii.n, bhalaa mai.n chho.D duu.N yahii.n
hai maut is qadar barii.n, mujhe na aaegaa yaqii.n
nahii.n-nahii.n abhii nahii.n, nahii.n-nahii.n abhii nahii.n
abhii to mai.n javaan huu.N - 3

na Gam kashod-o-bast kaa, bala.nd kaa na past ka
na buud kaa na hast kaa na vaadaa-e-alast kaa
ummiid aur yaas gum, havaas gum qayaas gum
nazar se aas-paas gum, haman bajuz gilaas gum
na may me.n kuchh kamii rahe, kadaa se hamadamii rahe
nashist ye jamii rahe, yahii hamaa-hamii rahe
vo raag chhe.D mutaribaa, taravafizaa aalamarubaa
asar sadaa-e-saaz kaa, jiGar me.n aag de lagaa
har ik lab pe ho sadaa, na haath rok saaqiyaa
% In another version (HMV recording, where Mallika Pukhraj sings with
% her daughter, Tahira Syed) the preceding two lines are replaced with
% this line:
%   
pilaae jaa pilaae jaa, pilaae jaa pilaae jaa
abhii to mai.n javaan huu.N - 3

%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .