aavaaz do ham ek hai.n, ham ek hai.n


Song Title: aavaaz do ham ek hai.n, ham ek hai.n
Movie Name:
Actor(s)/Actress(es):
Singer(s): Mohammad Rafi, chorus
Music Director(s): Khaiyyam
Lyricist(s): Jan Nissar Akhtar
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go back to Index
% 
% Contributor: Ashok Dhareshwar 
% Transliterator: Rajiv Shridhar 
% Date: 10/26/1996
%
%
ek hai apanii zamii.n, ek hai apanaa gagan
ek hai apanaa jahaa.n, ek hai apanaa vatan
apane sabhii sukh ek hai.n, apane sabhii Gam ek hai.n
aavaaz do, aavaaz do ham ek hai.n, ham ek hai.n

koras: aavaaz do, aavaaz do ham ek hai.n, ham ek hai.n

ye vaqt khone kaa nahii.n, ye vaqt sone kaa nahii.n
jaago vatan Katare me.n hai, saaraa chaman khatare me.n hai
phuulo.n ke chahare zard hai.n, zulfe.n fizaa kii gard hai.n
umdaa huaa tuufaan hai, narave (naraGe???) me.n hi.ndustaan hai
dushman se nafarat farz hai, ghar kii hifaazat farz hai
bedaar (???) ho bedaar ho, aamaadaa-e-paigaar ho (paikaar???)

koras: aavaaz do, aavaaz do ham ek hai.n, ham ek hai.n
 
ye hai himaalaa kii zamii.n, taaj-o-aja.ntaa kii zamii.n
sa.ngam hamaarii aan hai, chittau.D apanii shaan hai
gulmarg kaa mahakaa chaman, jamunaa kaa taT gokul kaa ban
ga.ngaa ke dhaare apane hai.n, ye sab hamaare apane hai.n
kaha do koii dushman nazar, uThe na bhuule se idhar
kah do ke ham bedaar hai.n, kah do ke ham tayyaar hai.n

koras: aavaaz do, aavaaz do ham ek hai.n, ham ek hai.n
 
uTho javaanaa.n-e-vatan, baa.Ndhe hue sar se kafan
uTho daKan kii or se, ga.ng-o-jaman kii or se
pa.njaab kii dil se uTho, sataluj kii saahil se uTho
mahaaraashhTra kii khaak se, dillii kii arz-e-paak se
ba.ngaal se gujaraat se, kashmiir ke baagaat se
nefaa se raajasthaan se, purKaa.n ke hi.ndustaan se

koras: aavaaz do, aavaaz do ham ek hai.n, ham ek hai.n
       ham ek hai.n, ham ek hai.n, ham ek hai.n
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .