aa aa idhar aa, phir maa.Ng, phir maa.Ng


Song Title: aa aa idhar aa, phir maa.Ng, phir maa.Ng
Movie Name: Non-Film
Actor(s)/Actress(es): Non-Film
Singer(s): Aziz Ahmed Khan Warsi
Music Director(s): Aziz Ahmed Khan Warsi
Lyricist(s): Amjad Hyderabadi
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go back to Index
% 
% Contributor: Samiuddin Mohammed 
% Transliterator: Rajiv Shridhar 
% Date: 10/28/1996
%
%
jo maa.Nganaa hai musabbib-e-sabab se maa.Ngo
minnat se, Kushaamat se, adab se maa.Ngo
kyU.N Gair ke aage haath phailaate ho
ba.nde ho agar rab ke, to rab se maa.Ngo

maayuus saayal ne jab ghar kii raah lii
aa.Nkho.n me.n aa.Nsuu the, thii jholii Kaalii
itane me.n rahamat jhu.njhalaake bolii
maayuus jaataa hai kyU.N haath Kaalii
saayal idhar aa, phir maa.Ng, phir maa.Ng

Kush hote hai.n ham, terii sadaa se
aa phir sadaa de, dilkash adaa se
ai ba.nde mat ruuTh apane Kudaa se
le haath phailaa, phir maa.Ng, phir maa.Ng
aa aa idhar aa, phir maa.Ng, phir maa.Ng

paidaa siqa.ndar ko kisane kiyaa thaa
aadam ke haatho.n me.n kisane diyaa thaa
tuu kyaa samajhakar vaapas chalaa thaa
maayuus jaane ko kisane kahaa thaa
aa aa idhar aa, phir maa.Ng, phir maa.Ng

ham apanii shaan-e-rahamat dikhaae.n
sab aarzue.n terii bar laae.n
(tuu maa.Ngataa jaa, ham dete jaae.n
 tuu chup na ho jaa, phir maa.Ng, phir maa.Ng)	- 2

ab ye sukuun hai, ye be-qaraarii
zor aur zar se, hehatar hai zaarii
chhaaii hai tujhapar, rahamat hamaarii
har dam hamaare fazl-o-karam kaa
jaarii hai dariyaa, phir maa.Ng, phir maa.Ng

tuu hai bhikaarii, ham hai.n daataa
le bhar le "amjad" kaasaa havas kaa
ham bhii to dekhe.n, hai zarf kitanaa
le haath phailaa, phir maa.Ng, phir maa.Ng
aa aa idhar aa, phir maa.Ng, phir maa.Ng
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .