dil to.Dane vaale, tujhe dil Dhuu.NDh rahaa hai


Song Title: dil to.Dane vaale, tujhe dil Dhuu.NDh rahaa hai
Movie Name: Son of India
Actor(s)/Actress(es):
Singer(s): Lata Mangeshkar, Mohammad Rafi
Music Director(s): Naushad
Lyricist(s): Shakeel Badayuni
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go back to Index
% 
% Contributor: Neha Desai 
% Transliterator: Rajiv Shridhar 
% Date: 02/20/1996
%
%
lataa:
dil to.Dane vaale, tujhe dil Dhuu.NDh rahaa hai
tujhe dil Dhuu.NDh rahaa hai
aavaaz de tuu kaun sii nagarii me.n chhupaa hai
dil to.Dane vaale ...

tuu ham ko jo mil jaae to haal apanaa sunaae.n
Kud roe.n kabhii aur kabhii tujhe rulaae.n
vo daaG dikhaae.n jo hame.n tuune diyaa hai

rafii:
aaiye dil ke sahaare tujhe dil Dhuu.NDh rahaa hai
tujhe dil Dhuu.NDh rahaa hai
siine me.n terii yaad kaa tuufaan uThaa hai
aaiye dil ke sahaare

dil me.n to ye hasarat hai tere paas mai.n aauu.N
nazaro.n se giraa huu.N to nazar kaise milaauu.N
nazar kaise milaauu.N
badanaam huu.N, naakaam huu.N, kyaa mujh me.n rahaa hai
aaiye dil ke sahaare, tujhe dil Dhuu.NDh rahaa hai
tujhe dil Dhuu.NDh rahaa hai

lataa:
dikhalaa ke dinaaraa mujhe mallaah ne luuTaa
kashtii bhii ga_ii, haath se, patavaar bhii chhuuTaa
patavaar bhii chhuuTaa
ab aur na jaane merii taqadiir me.n kyaa hai
dil to.Dane vaale, tujhe dil Dhuu.NDh rahaa hai
tujhe dil Dhuu.NDh rahaa hai

rafii:
bechain udhar tuu hai, to majabuur idhar ham
baiThe hai.n chhupaae hue, ashqo.n me.n teraa Gam
ashqo.n me.n teraa Gam
har choT ubhar aaii hai, har zaKm haraa hai

lataa:
dil to.Dane vaale, tujhe dil Dhuu.NDh rahaa hai
tujhe dil Dhuu.NDh rahaa hai
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .