%
% Contributor:  
% Transliterator:  
% Credits: Sujatha Nagarajan (sujatha@nu.cs.fsu.edu)
%          Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu)
%          Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu)
%          Shashikant Joshi (rava0002@gold.tc.umn.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
%         Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu)
% Date: Fri Jan 26 21:18:27 EST 1996
%
%
ra: yuu.Nhii tum mujhase baat karatii ho
    yaa koii pyaar kaa iraadaa hai
la: adaae.n dil kii jaanataa hii nahii.n
    meraa hamadam bhii kitanaa saadaa hai
ra: roz aatii ho tum Kayaalo.n me.n	(2)
    zi.ndagii me.n bhii merii aa jaao
    biit jaae na ye savaalo.n me.n
    is javaanii pe kuchh taras khaao
la: haal-e-dil samajho sanam	(2)
    mu.Nh se na kahe.nge ham
    hamaarii bhii koii maryaadaa hai, yuu.Nhii tum...
    
ra: ban ga_ii ho merii sadaa ke liye
    yaa mujhe yuu.N hii tum banaatii ho
la: kahii.n baaho.n me.n na bhar luu.N tumako
    kyo.n mere hausale ba.Dhaatii ho
ra: hausale aur karo, faasale duur karo
    paas aate na Daro
    dil na to.De.nge apanaa vaadaa hai, yuu.Nhii tum...
    
ra: bholepan me.n hai vafaa kii khushabuu
    isape sab kuchh na kyuu.N luTaauu.N mai.n
la: meraa betaab dil ye kahataa hai
    tere saae se lipaT jaauu.N mai.n
ra: mujhase ye mel teraa   (2)
    na ho ik khel teraa
    ye karam mujhape kuchh ziyaadaa hai, yuu.Nhii tum...
%
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
  
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a 
team
of volunteers. 
Please send new songs, corrections etc to 
.