% % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: Yogesh Kamath (kamathy@ucunix.san.uc.edu) % posted by nasir (noor@muug.mb.ca)) % Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % pal pal dil ke paas, tum rahatii ho jiivan miiThii pyaas, ye kahatii ho pal pal ... har shaam aa.Nkho.n par, teraa aa.Nchal laharaae har raat yaado.n kii, baaraat le aae mai.n saa.ns letaa huu.N, terii khushabuu aatii hai ek mahakaa mahakaa saa, paigaam laatii hai mere dil ki dha.Dakan bhii, tere giit gaatii hai pal pal ... tum sochogii kyuu.N itanaa, mai.n tumase pyaar karuu.n tum samajhogii diivaanaa, mai.n bhii iqaraar karuu.n diivaano.n kii ye baate.n, diivaane jaanate hai.n jalane me.n kyaa mazaa hai, paravaane jaanate hai.n tum yuu.N hii jalaate rahanaa, aa aa kar Kvaabo.n me.n pal pal ... kal tujhako dekhaa thaa, maine apane aa.ngan me.n jaise kah rahii thii tum, mujhe baa.Ndh lo bandhan me.n ye kaisaa rishtaa hai, ye kaise sapane hai.n begaane ho kar bhii, kyuu.N lagate apane hai.n mai.n soch mai.n rahataa huu.N, Dar Dar ke kahataa huu.N pal pal ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.