% % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu) % Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu) % Asvinder Singh (SINGHAS@gunet.georgetown.edu) % Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % chiTThii aaii hai aaii hai chiTThii aaii hai -2 chiTThii hai vatan se chiTThii aayii hai ba.De dino.n ke baad, ham bevatano.n ko yaad -2 vatan kii miTTii aaii hai, chiTThii aaii hai ... uupar meraa naam likhaa hai.n, a.ndar ye paigaam likhaa hai.n -2 o parades ko jaane vaale, lauT ke phir naa aane vaale saat samu.ndar paar gayaa tuu, hamako zi.ndaa maar gayaa tuu khuun ke rishte to.D gayaa tuu, aa.Nkh me.n aa.Nsuu chho.D gayaa tuu kam khaate hai.n kam sote hai.n, bahut zyaadaa ham rote hai.n, chiTThii ... suunii ho gaI.n shahar kii galiyaa.N, kaa.nTe ban gaI.n baag kii kaliyaa.N -2 kahate hai.n saavan ke jhuule, bhuul gayaa tuu ham nahii.n bhuule tere bin jab aaii diivaalii, diip nahii.n dil jale hai.n khaalI tere bin jab aaii holii, pichakaarii se chhuuTii golii piipal suunaa panaghaT suunaa ghar shamashaan kaa banaa namuunaa -2 fasal kaTii aaii baisaakhii, teraa aanaa rah gayaa baakii, chiTThii ... pahale jab tuu Kat likhataa thaa kaagaz me.n cheharaa dikhataa thaa -2 ba.nd huaa ye mel bhii ab to, khatam huaa ye khel bhii ab to Dolii me.n jab baiThii bahanaa, rastaa dekh rahe the nainaa -2 mai.n to baap huu.N meraa kyaa hai, terii maa.N kaa haal buraa hai terii biivii karatii hai sevaa, suurat se lagatii hai.n bevaa tuune paisaa bahut kamaayaa, is paise ne desh chhu.Daayaa pa.nchhii pi.njaraa to.D ke aajaa, desh paraayaa chho.D ke aajaa aajaa umar bahut hai chhoTii, apane ghar me.n bhii hai.n roTii, chiTThii ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.