% % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu) % Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % % ba.De hai.n dil ke kaale haa.N yahii niilii sii aa.Nkho.n vaale suurat burii ho buraa nahii.n dil meraa naa ho yaqiin aazamaa le merii jaan vaah vaah vaah ... merii jaan vaah vaah vaah vaah ba.De hai ... jaise bhale ho sab hai khabar sher-o-sharaarat kii ye nazar aa.Nkho.n me.n aa.Nkhe.n Daalake ham ho gaye ab to jaane jigar haa.N hamako ba.De ba.De Dhuu.NDh ke haare Dhuu.NDh hii laae.nge dil ke sahaare aap kisiike bhii hai.n, vaah jii vaah khul jaayegaa haal tum pe dil-e-beqaraar kaa naino se naina milaake dekho to zaraa rok bhii lo ab apanii zubaan varanaa qayaamat hogii yahaa.N ham bhii qayaamat se nahii.n kam jaaoge bachake duur kahaa.N haa.N yahii.n to the abhii aap kidhar gaye samajho hame.n ham jaan se guzar gaye jiitejii mar gaye, vaah jii vaah maranaa merii zi.ndagii hai diivaanaa huu.N pyaar kaa tum bhii ek din aazamaa.N ke dekho to zaraa %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.