% % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: Song originally posted by Girish Harshe (GRH6@psuvm.psu.edu) % Modifications by: Sujatha Nagarajan (sujatha@nu.cs.fsu.edu) % Loosely based on Yaman raag (?) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % vo shaam kuchh ajiib thii, ye shaam bhii ajiib hai vo kal bhii paas paas thii, vo aaj bhii kariib hai jhukii huii nigaah me.n, kahii.n meraa Kayaal thaa dabii dabii ha.Nsii.n me.n ik, hasiin saa savaal thaa mai.n sochataa thaa, meraa naam gunagunaa rahii hai vo na jaane kyuu.N lagaa mujhe, ke muskuraa rahii hai vo vo shaam kuchh ajiib thii ... meraa Kayaal hai.n abhii, jhukii huii nigaah me.n khulii huii ha.Nsii bhii hai, dabii huii sii chaah me.n mai.n jaanataa huu.N, meraa naam gunagunaa rahii hai vo yahii Kayaal hai mujhe, ke saath aa rahii hai vo vo shaam kuchh ajiib thii, ye shaam bhii ajiib hai vo kal bhii paas paas thii, vo aaj bhii kariib hai %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.