% % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu) % Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu) % Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % % L: ye aa.Nkhe.n dekh kar ham saarii duniyaa bhuul jaate hai.n inhe.n paane kii dhun me.n har tamannaa bhuul jaate hai.n ye aa.Nkhe.n ... % S: tum apanii mahakii mahakii zulf ke pecho.n ko kam kar do musaafir iname.n girakar apanaa rastaa bhuul jaate hai.n % L: ye aa.Nkhe.n ... ye aa.Nkhe.n jab hame.n apanii panaaho me.n bulaatii hai.n hame apanii qasam ham har saharaa bhuul jaate hai.n % S: tumhaare narm-o-naazuk ho.nTh jis dam muskaraate hai.n bahaare.n jhe.npatii.n phuul khilanaa bhuul jaate hai.n % L: ye aa.Nkhe.n ... bahut kuchh tum se kahane kii tamannaa dil me.n rakhate hai.n magar jab saamane aate ho to kahanaa bhuul jaate hai.n % S: muhabbat me.n zubaa.n chup ho to aa.Nkhe.n baat karatii.n hai.n ye kah detii hai.n vo baate.n jo kahanaa bhuul jaate hai.n % L: ye aa.Nkhe.n ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.