% % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu) % Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu) % Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % ho, akelaa chal re, ho, fakiiraa chal re o sunake terii pukaar, sa.ng chalane ko tere koii ho na ho taiyaar himmat na haar, chal chalaa chal akelaa chal chalaa chal ... fakiira chal chalaa chal bachapan me.n huaa ghar se beghar aaj talak naa bas paayaa ghar me.n lagii jo aag vo bujh ga_ii, jalatii rahii terii kaayaa biitii baate.n bisaar, aisaa koii nahii.n jo na ho Gam se bezaar, himmat na haar ... % Mahendra Kapoor jisane liyaa sa.nkalp sabhii ke dukh aur dard miTaane kaa usape ha.nsaa jag usane kabhii naa, paayaa saath zamaane kaa le le auro.n kaa bhaar, koI jinakaa nahii.n hai unakaa jiivan sa.nvaar, himmat na haar ... suuraj cha.ndaa taare juganuu sabakii apanii hastii hai jisame.n jitanaa niir ho badalii, utanii der barasatii hai terii shak_tii apaar, tuu to laayaa re akelaa ga.ngaa dharatii pe utaar, himmat na haar ... % Hemlata vo kyaa samajhe dard kisii kaa jisane dukh naa jhelaa ho do ab aur do haath ho jisake, vo kaahe ko akelaa ho aae sa.nkaT hazaar, terii Kaatir koii na khole kabhii na apanaa dvaar, himmat na haar ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.