gaa.Dii bulaa rahii hai, siiTii bajaa rahii hai


Song Title: gaa.Dii bulaa rahii hai, siiTii bajaa rahii hai
Movie Name: Dost
Actor(s)/Actress(es): Dharmendra, Hema Malini, Shatrughan Sinha
Singer(s): Kishore Kumar
Music Director(s): Laxmikant, Pyarelal
Lyricist(s): Anand Bakhshi
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go to Fast-DEVNAGRI (Xdvng) Go back to Index
%
% Contributor:  
% Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org)
% Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu)
%          Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu)
%          Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
%
%
gaa.Dii bulaa rahii hai, siiTii bajaa rahii hai
chalanaa hii zi.ndagii hai, chalatii hii jaa rahii hai

dekho vo rel, bachcho.n kaa khel, siikho sabak javaano.n
sar pe hai bojh, siine me.n aag, lab par dhuvaa.N hai jaano
phir bhii ye jaa rahii hai, nagame.n sunaa rahii hai

aage tuufaan, piichhe barasaat, uupar gagan me.n bijalii
soche na baat, din ho ke raat, siganal huaa ke nikalii
dekho vo aa rahii hai, dekho vo jaa rahii hai

aate hai.n log, jaate hai.n log, paanii me jaise rele
jaane ke baad, aate hai.n yaad, guzare hue vo mele
yaade.n banaa rahii hai, yaade.n miTaa rahii hai

gaa.Dii ko dekh, kaisii hai nek, achchhaa buraa na dekhe
sab hai.n savaar, dushman ke yaar, sabako chalii ye leke
jiinaa sikhaa rahii hai, maranaa sikhaa rahii hai

gaa.Dii kaa naam, naa kar badanaam, paTarii pe rakh ke sar ko
himmat na haar, kar i.ntazaar, aa lauT jaae.n ghar ko
ye raat jaa rahii hai, vo subah aa rahii hai

sun ye paigaam, ye hai sa.ngraam, jiivan nahii.n hai sapanaa
dariyaa ko faa.nd, pava.rt ko chiir, kaam hai ye usakaa apanaa
nii.nde.n u.Daa rahii hai, jaago jagaa rahii hai
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .