% % Contributor: % Transliterator: Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu) % Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % tum agar mujhako na chaaho to koii baat nahii.n tum kisii aur ko chaahogii to mushkil hogii ab agar mel nahii.n hai to judaaii bhii nahii.n baat to.Dii bhii nahii.n tumane nibhaaii bhii nahii.n ye sahaaraa bhii bahut hai mere jiine ke liye tum agar merii nahii.n ho to paraaii bhii nahii.n mere dil ko na saraaho to koii baat nahii.n gair ke dil ko saraahogii, to mushkil... tum hasii.n ho, tumhe.n sab pyaar hii karate ho.nge mai.n to marataa huu.N to kyaa aur bhii marate ho.nge sab kii aa.Nkho.n me.n isii shauq kaa tuufaa.n hogaa sab ke siine me.n yahii dard ubharate ho.nge mere Gam me.n na karaaho to koii baat nahii.n aur ke Gam me.n karaahogii to mushkil... phuul kii tarah ha.Nso, sab kii nigaaho.n me.n raho apanii maasuum javaanii kii panaaho.n me.n raho mujhako vo din na dikhaanaa tumhe.n apanii hii qasam mai.n tarasataa rahuu.N tum gair kii baaho.n me.n raho tum agar mujhase na nibhaao to koii baat nahii.n kisii dushman se nibhaaogii to mushkil... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.