% % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu) % Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu) % Satish Subramanian (subraman@myria.cs.umn.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % koii jab tumhaaraa hR^iday to.D de ta.Dapataa huaa jab koii chho.D de tab tum mere paas aanaa priye meraa dar khulaa hai khulaa hii rahegaa tumhaare liye, koii jab ... abhii tumako merii zaruurat nahii.n bahut chaahane vaale mil jaae.nge abhii ruup kaa ek saagar ho tum ka.nval jitane chaahogii khil jaae.nge darapan tumhe.n jab Daraane lage javaanii bhii daaman chhu.Daane lage tab tum mere paas aanaa priye meraa sar jhukaa hai jhukaa hii rahega tumhaare liye, koii jab ... koii shart hotii nahii.n pyaar me.n magar pyaar sharto.n pe tumane kiyaa nazar me.n sitaare jo chamake zaraa bujhaane lagii.n aaratii kaa diyaa jab apanii nazar me.n hii girane lago a.ndhero.n me.n apane hii ghirane lago tab tum mere paas aanaa priye ye diipak jalaa hai jalaa hii rahega tumhaare liye, koii jab ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.