% % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu) % Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu) % Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Editor: Anurag Shankar - many errors (anurag@astro.indiana.edu) % % ye naa thii hamaarii qismat ke visaal-e-yaar hotaa agar aur jiite rahate, yahii i.ntazaar hotaa tere vaade par jiye ham, to ye jaan jhuuTh jaanaa ke khushii se mar na jaate, agar etabaar hotaa terii naazukii se jaanaa ke ba.ndhaa thaa ahad buuda kabhii tuu na to.D sakataa, agar usatavaar hotaa koii mere dil se puuchhe, tere tiir-e-niim kash ko ye khalish kahaa.N se hotii, jo jigar ke paar hotaa ye kahaa.N kii dostii hai ke bane hai.n dost naaseH koii chaaraa saaz hotaa, koii gam gusaar hotaa rag-e-sa.ng se Tapakataa, vo lahuu ke phir na thamataa jise Gam samajh rahe ho, ye agar sharaar hotaa Gam agar-che jaa.N gusal hai, par kahaa.N bachai.n ke dil hai Gam-e-ishq gar na hotaa, gam-e-rozagaar hotaa kahuu.N kis se mai.n ke kiyaa hai, shab-e-gam burii balaa hai mujhe kiyaa buraa thaa maraN agar aik baar hotaa hue mar ke ham jo rusavaa, hue kyuu.N na gharq-e-darayaa na kabhii janaazaa uThataa, na kahii.n mazaar hotaa use kaun dekh sakataa ke, yagaana he vo yakataa jo doii ki buu bhii hotii, to kahii.n dochaar hotaa ye masaa-el-e-tasavvuf, ye teraa bean, Gaalib tujhe ham vaalii samajhate, jo na baadah khaar hotaa %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.