chal sanyaasii, ma.ndir me.n, teraa chimaTaa merii chuu.Diyaa.N


Song Title: chal sanyaasii, ma.ndir me.n, teraa chimaTaa merii chuu.Diyaa.N
Movie Name: Sanyasi
Actor(s)/Actress(es): Manoj Kumar, Hema Malini, Premnath
Singer(s): Lata Mangeshkar, Kishore Kumar
Music Director(s): Shankar, Jaikisan
Lyricist(s): Vishveshvar Sharma
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go to Fast-DEVNAGRI (Xdvng) Go back to Index
%
% Contributor:  
% Transliterator: Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu)
% Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu)
%          Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu)
% Editor:  
%
%
chal sanyaasii ma.ndir me.n, teraa chimaTaa merii chuu.Diyaa.N
dono.n saath bajaae.nge, saath-saath khanakaae.nge
kyuu.N ham jaaye.n ma.ndir me.n, paap hai tere a.ndar me.n
lekar maalaa ka.nTh dushaalaa raam naam gun gaaye.nge
resham saa ye ruup salonaa yauvan hai yaa tapataa sonaa
ye terii mohan sii suurat kar ga_ii mujhape haae jaaduu-Tonaa
kaisaa jaaduu-Tonaa, saarii man kii ye maayaa hai
tum pe devii kisii rog kii pa.Dii vikaT chhaayaa hai
chal sanyaasii ma.ndir me.n, teraa kama.nDal merii gagariyaa
saath-saath chhalakaaye.nge, kyuu.N ham jaaye.n ma.ndir me.n
paap hai tere a.ndar me.n
ham to jogii raam ke rogii dhuunii alag ramaae.nge
jaage-jaage so jaatii huu.N aur sapano.n me.n kho jaatii huu.N
tab tuu meraa ho jaataa hai aur piyaa mai.n terii ho jaatii huu.N
sapano.n me.n bharamaakar maanav sachchaa sukh khotaa hai
are, raam naam japate rahane se kashhT duur hotaa hai
chal sanyaasii ma.ndir me.n, teraa cholaa merii chunariyaa
saath-saath ra.ngavaaye.nge, kyo.n ham jaaye.n ma.ndir me.n
paap hai tere a.ndar me.n
chho.D jhamele baiTh akele jiivan saphal banaaye.nge
man se man kaa diip jalaa le madhur milan kii jyotii jagaa le
puuraN kar de merii aashaa aaj mujhe apanaa le apanaa le
man se man kaa diip jalaanaa mujhe nahii.n aataa hai
bas puujaa kii jyot jalaanaa mujhe yahii bhaataa hai
chal sanyaasii ma.ndir me.n, meraa ruup aur terii javaanii
milakar jyotii jalaaye.nge, kyo.n ham jaaye.n ma.ndir me.n
paap hai tere a.ndar me.n
dharm chho.Dakar, dhyaan chho.Dakar paap nahii.n apanaae.nge
prem hai puujaa prem hai puujan prem jagat hai prem hii jiivan
mat kar tuu apamaan prem kaa
prem hai naam prabhuu kaa ba.Daa hii paavan
prem-prem kar ke mujhako kar degii ab tuu paagal
meraa dhiiraj Dol rahaa hai, laaj rakhe ga.ngaa jal
chal sanyaasii ma.ndir me.n, terii maalaa, meraa gajaraa
ga.ngaa saath nahaaye.nge
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .