% % Contributor: % Transliterator: Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu) % Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu) % Editor: % % la: is mo.D se jaate hai.n - (2) kuchh sust qadam raste kuchh tez qadam raahe.n - (2) ki: patthar kii havelii ko shiishe ke gharau.ndo.n me.n tinako.n ke nasheman tak is mo.D se jaate hai.n la: aa.Ndhii kii tarah u.Dakar ik raah guzaratii hai - (2) sharamaatii huii koii qadamo.n se utaratii hai in reshamii raaho.n me.n ik raah to vo hogii tum tak jo pahu.nchatii hai is mo.D se jaatii hai is mo.D se jaate hai.n... ki: ik duur se aatii hai paas aake palaTatii hai - (2) ik raah akelii sii rukatii hai na chalatii hai la: ye sochake baiThii huu.N ik raah to vo hogii tum tak jo pahu.nchatii hai is mo.D se jaate hai.n is mo.D se jaate hai.n kuchh sust qadam raste kuchh tez qadam raahe.n ki: patthar kii havelii ko shiishe ke gharo.ndo.n me.n tinako.n ke nasheman tak is mo.D se jaate hai.n la: is mo.D se jaate hai.n %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.