dil Dhuu.NDhataa hai, phir vahii, fursat ke raat din


Song Title: dil Dhuu.NDhataa hai, phir vahii, fursat ke raat din
Movie Name: Mausam
Actor(s)/Actress(es): Sanjeev Kumar, Sharmila Tagore
Singer(s): Bhupinder, Bhupinder, Lata Mangeshkar
Music Director(s): Madan Mohan
Lyricist(s): Gulzar
Category(ies): Sad Songs


Go to Slow-DEVNAGRI Go to Fast-DEVNAGRI (Xdvng) Go back to Index
%
% Contributor:  
% Transliterator: Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu)
% Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu)
%          Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu)
% Editor:  
%
%
dil Dhuu.NDhataa hai phir vahii furasat ke raat din - (2)
baiThe rahe tasavvur-e-jaanaa.N kiye hue
dil Dhuu.NDhataa hai phir vahii furasat ke raat din...

jaa.Do.n kii narm dhuup aur aa.Ngan me.n leT kar - (2)
aa.Nkho.n pe khii.nchakar tere aa.Nchal ke saae ko
au.ndhe pa.De rahe kabhii karavaT liye hue
dil Dhuu.NDhataa hai phir vahii furasat ke raat din...

yaa garamiyo.n kii raat jo puravaaIyaa.N chale.n - (2)
Tha.nDii safed chaadaro.n pe jaage.n der tak
taaro.n ko dekhate rahe.n chhat par pa.De hue
dil Dhuu.NDhataa hai phir vahii furasat ke raat din...

barfiilii sardiyo.n me.n kisii bhii pahaa.D par - (2)
vaadii me.n guu.Njatii huii khaamoshiyaa.N sune.n
aa.Nkho.n me.n bhiige bhiige se lamhe liye hue
dil Dhuu.NDhataa hai phir vahii furasat ke raat din...
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .