nafarat karane vaalo.n ke siine me.n pyaar bhar duu.N


Song Title: nafarat karane vaalo.n ke siine me.n pyaar bhar duu.N
Movie Name: Johnny mera Naam
Actor(s)/Actress(es): Dev Anand, Hema Malini
Singer(s): Kishore Kumar
Music Director(s): Kalyanji, Anandji
Lyricist(s): Indeevar
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go to Fast-DEVNAGRI (Xdvng) Go back to Index
%
% Credits: Satish Subramanian (subraman@cs.umn.edu)
% Transliterator: Mani Upadhyaya (mani@eng.utoledo.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
%
%
nafarat karane vaalo.n ke siine me.n pyaar bhar duu.N - 2
are mai.n vo paravaanaa huu.N patthar ko mom kar duu.N
nafarat karane vaalo.n ke siine me.n pyaar bhar duu.N

(phir aap kyaa hai.n? hai.n? 
aakhir to phuul hai.n, faulaad nahii.n hai.n
are, bulabul hai.n kisii baaG ke, saiyaad nahii.n hai.n!)

bulabul ke ta.Dapane se saiyaad pighalataa hai - 2
aaho.n me.n asar ho to faulaad pighalataa hai
faulaad ke bhii dil me.n ulafat kii aag bhar duu.N
are mai.n vo paravaanaa huu.N patthar ko mom kar duu.N
nafarat karane vaalo.n ke siine me.n pyaar bhar duu.N

(sharm-o-hayA kaa pardaa dush{}vaar nahii.n hai
ajii halkaa saa ik paradA hai, diivaar nahii.n hai!)
	
aa.Nchal kii ye diivaar to diivaar nahii.n hai - 2
phir aap ke bhii dil me.n inkaar nahii.n hai
inkaar jin labo.n me.n iqaraar uname.n bhar duu.N
are mai.n vo paravaanaa huu.N patthar ko mom kar duu.N
nafarat karane vaalo.n ke siine me.n pyaar bhar duu.N

(ham vo hai.n,
zindagii me.n kabhii saatha naa chho.De.nge!
thaame.nge agar haath to phir haath naa chho.De.nge!!)

ham haath naa chho.De.nge, tuufaa.n se kinaaro.n tak - 2
ham saath naa chho.De.nge, dharatii se sitaaro.n tak
chaahata ke sitaaro.n se, dharatI kii maa.ng bhar duu.N
are mai.n vo paravaanaa huu.N patthar ko mom kar duu.N
nafarat karane vaalo.n ke, siine me.n pyaar bhar duu.N
are mai.n vo paravaanaa huu.N patthar ko mom kar duu.N
nafarat karane vaalo.n ke, siine me.n pyaar bhar duu.N
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .