% % Contributor: Ajit Dandekar (ABD105@psuvm.psu.edu) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % % other popular songs % like "oye tu raat khadi thi chhat pe ni main samjha ke chand nikla" % and "chandsi mehbooba ho meri kab aisa maine socha tha " % and "kankariya marke jagaya kal tu mere sapne mein aaya " % ##Happy Version:## ek tU jo milaa, sArI duniyaa milii khilaa jo meraa dil sArI bagiyaa khilii tU sUraj mai.n sUrajamukhii huu.N piyaa naa dekhuu.n tujhe to khile naa jiyaa tere ra.ng mai.n ra.ngii mere dil kii kalii khilaa jo ... anokhaa hai.n ba.ndhan ye ka.Ngan saajan binaa Dor ke ba.ndh gayaa meraa man tU jidhar le chal mai.n udhar hii chalii khilaa jo ... kabhI jo naa bichha.De vo sAthI huu.N mai.n tU meraa diyaa teraa bAtI huu.N mai.n bujhaayaa bujhii jalaayaa jalii khilaa jo ... ek tU naa milaa ... ##Sad Version:## ek tU naa milaa, sArI duniyaa mile bhI to kyaa hai meraa dil naa khilaa, sArI bagiyaa khile bhI to kyaa hai dharatii huu.N mai.n aur tU hai gagan hogaa kahaa.n teraa meraa milan laakh pahere yahaa.n, pyaar dil me.n pale bhI to kyaa hai.n ek tU naa milaa ... taqadIr kii mai.n koI bhuul huu.N Daalii se bichha.Daa huaa phuul huu.N sAth teraa nahii.n sa.ng duniyaa chale bhI to kyaa hai ek tU naa milaa ... tujhase lipaTakar jo ro lete ham aa.NsU nahii.n the ye motii se kam teraa daaman nahii.n, ye aa.Nsuu Dhale bhI to kyaa hai ek tU naa milaa ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.